Page 27 of 29

Posted: Sat Sep 16, 2006 4:26 pm
by ummassad
bhatka hua raahi main ;bhatka hua raahi tuu.
mnzil hey kahan teri aay lalaa.e.shrayee?

Posted: Sun Sep 17, 2006 12:40 pm
by Mayank
maara zamaane ne 'Asadullah KHaaN' tumhe
woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?

Posted: Sun Sep 17, 2006 12:51 pm
by Daanish
'sawaaliyah'

chamki bijli si par na samjhe hum
Husn thha, ya jamaal thha kya thha
--Mus'Hafi

Posted: Tue Sep 19, 2006 1:17 pm
by Daanish



ik Husn ka dariyaa hai, ik noor ka toofaaN hai
is paikar-e-Khaaki meiN yeh kaun KhiraamaaN hai?
--Jigar

???

Posted: Wed Sep 20, 2006 2:37 am
by Abdullah Nazir



kab tak yeh junoon-e-dasht-e-ghurbat

thk kar maiN houaa niDhaal dekho.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Posted: Thu Sep 21, 2006 4:14 am
by Daanish
'sawaaliyah'

gar kiya naaSeH ne hum ko qaid, achha yuN sahii
yeh junoon-e-ishq ke andaaz chhuT jaawenge kya?
--Ghalib

Posted: Fri Sep 22, 2006 3:47 am
by Daanish


Ghalib bura na maan jo va'ez buraa kahe
aisa bhi koi hai ke, sab achha kahe jisay

???

Posted: Fri Sep 22, 2006 8:01 am
by Abdullah Nazir



rangeeN baateN, dilkash raateN, haaye wo Ahd-e-guzishtah kee

kis ko apne dil se bhulaadeN kisko musalsal yaad kareN.


Shaayer: Abdullah Nazir.

( wawo )


Nazir.


???

Posted: Sun Sep 24, 2006 10:45 am
by Abdullah Nazir



ZabT-e-gham-e-firaaq se souz-e-jigar fuzooN houaa

phir nah yeh poochnaa tabaah kaise houaa maiN kiuN houaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Sep 27, 2006 2:39 pm
by ummassad
main aor bazam.e. maey se youn tishna kaam aayoun
ger main ne ki thi touba saaqi ko kiya hua tha?

Posted: Sat Sep 30, 2006 2:47 am
by Daanish
taqaaza-e-moHabbat hai wagarna
mujhe aur jhhooT ka tum par gumaaN ho
--Haali

Posted: Sat Sep 30, 2006 3:09 am
by ummassad
beniazi hud se guzri bandaoerwar kub talak
hum kahainge haal.e.dil aor aap fermayenge kiya

???

Posted: Sat Oct 07, 2006 4:06 pm
by Abdullah Nazir



"Naveed-e-rabT hei her jour lekin

kahaaN se laauN Taaqat imtiHaaN kee"


Shaayer: Faani Badauni



Nazir.


???

Posted: Mon Nov 13, 2006 9:21 am
by Abdullah Nazir



Phir `Phir tunuk-zarfiy-e-saaghar peh hansi aati hei

housh uRaataa nahiN kiyuN housh uRaane waale?.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Tue Nov 28, 2006 6:25 am
by hassan_bashir
Khuda jaane mira kya vazn hai un kii nigaahoN meiN?!
sunaa hai aadmi ko voh nazar se tol lete haiN!! :wink: