Page 27 of 65
gaya
Posted: Mon Jun 20, 2005 12:17 am
by Abdullah Nazir
gayaa hou jaise koii mere dil ko chootaa houaa
maiN rourahaa hooN akele meiN siskiyaaN lekar.
maiN / lekar
Nazir.
Posted: Mon Jun 20, 2005 12:35 am
by najma
maiN kis se apni tabaahii ki daastaan kahooN
mujhe halaak kiya hay mire maseehaa nay
najma
mujhe/nay
Posted: Tue Jun 21, 2005 8:33 pm
by najma
miree zindagii bhi yaro! kya ajeeb zindagi hay
na qafas hi raas aaya, na chaman ka aab-o-danah
najma
nah/danah
Posted: Wed Jun 22, 2005 10:38 am
by najma
hamare shehr ki rasmeN, ajeeb rasmeN haiN
keh rah-zanoN ka yahaN koee eh,tisaab naheeN
bakhsh
keh/naheeN
Posted: Thu Jun 23, 2005 12:20 am
by najma
haiN log wohii jahaaN meiN achay
aatay haiN jo kam doosroN ke
aatay/kay
Posted: Thu Jun 23, 2005 12:23 pm
by najma
hay eh,timaam-e-giryah-o-maatam chaman chaman
rakhay haiN maqtaloN meiN janazay sajay huey
saGhar
rakhay/huey
Posted: Fri Jul 01, 2005 3:38 am
by Hashmat Usmani
tuu abhii rah_guzar meN hai, qaid-e-maqaam se guzar
Misr_o_Hijaaz se guzar, Paaras_o_Shaam se guzar
'allamah Iqbaal
MISR / GUZAR
"nafrat"
Posted: Fri Jul 01, 2005 12:19 pm
by Abdullah Nazir
nafrat se pesh aa ke muHabbat se pesh aa
jaanaa nahiN hei mujhko tiri rehguzar se door.
( jaanaa / door )
Nazir.
[/color
"bus"
Posted: Sat Jul 02, 2005 12:23 pm
by Abdullah Nazir
Bas zaraa choone nahiN paaye thay paimaane ko ham
dekhte hii reh gaye veeran maikhaane ko ham.
dekhte / ham
Nazir.
"log"
Posted: Sun Jul 03, 2005 2:34 am
by Abdullah Nazir
loag kyaa kehte heiN yeh fikr nahiN hei mujhko
yooN nah chup chup ke karo khooN mire armaanaoN kaa.
"alif"
Nazir.
Posted: Sun Jul 03, 2005 6:11 am
by Hashmat Usmani
yuN sajaa chaand k jhalkaa tire andaaz kaa rang
yuN fazaa mahkii k badlaa mire ham_raaz kaa rang
Faiz AHmad Faiz
YUN / RANG
"khushboo"
Posted: Sun Jul 03, 2005 6:23 pm
by Abdullah Nazir
lagaao hei tiri khusboo-e-pairahan se mujhe
sukhan se koii gharaz hei nah anjuman se mujhe.
Nazir.
Posted: Tue Jul 05, 2005 3:10 am
by Hashmat Usmani
aataa hai kis andaaz se, Tuk! naaz to dekho!!
kis dhaj se qadam paRtaa hai, andaaz! to dekho!!
MusHafii
KIS / DEKHO
Posted: Wed Jul 06, 2005 4:58 am
by Hashmat Usmani
jhuum ke jab rindoN ne pilaa dii
ShaiKh ne chupke_chupke du'aa dii
Kaif Bhopali
SHAIKH / DEE
"shukr"
Posted: Thu Jul 07, 2005 3:38 am
by Abdullah Nazir
shukr hei aapko kuch mujh se shikaayat nah rahi
mere jazbaat bhii sharminda-e-auhaam nahiN.
mere / nahiN
Nazir.