Page 27 of 43

Posted: Wed Jul 13, 2005 1:24 am
by PK Swami
aaNsoo rawaaN haiN zulf.e siyaH ke khayaal meiN
moTee piro rahaa hooN tere baal baal meiN

PK Swami

Posted: Wed Jul 13, 2005 2:14 am
by Hashmat Usmani
jab zabt-e-Gham dil pe na, jaanaaN! koii rahaa
motii sajaa liye haiN sar-e-mizgaaN kabhiikabhii


A'ijaaz Aslam

Posted: Wed Jul 13, 2005 6:02 pm
by PK Swami
ye bhegee bhegee fijaa.e gulshan, tamaam maaHol shabnamee saa
lipaT ke royaa hai raat pholooN se, koi dewanaawaar shayad !

PK Swami

Posted: Wed Jul 13, 2005 6:59 pm
by Hashmat Usmani
dil ke sehraa meN koii aas kaa jugnuu bhii nahiiN
itnaa royaa huuN k ab aaNkh meN aaNsuu bhii nahiiN


Noor Bijnaurii

Posted: Fri Jul 15, 2005 9:39 pm
by RAUSHNEE

dil he tu hai na sang-0-khisht dard say bhar na aye kiyon
royen gay hum hazar bar koii hamein sateye kiyon ?

Posted: Sun Jul 17, 2005 4:25 pm
by PK Swami
dil kee bahaar kyaa hai, gham se figaar honaa
zakhm.e jigar ke gul ko, hajat naheeN rafoo kee


PK swami

javaab

Posted: Mon Jul 18, 2005 3:58 am
by Abdullah Nazir



ik zakhm hei rafugar, saAy-e-rafoo hou jiski

seena hei saaraa chalni, meHboob ke karam se.



Nazir.


Posted: Sat Jul 23, 2005 10:28 pm
by RAUSHNEE

ahad-e-vafaa aur tark-e-muhabbat jo chaaho so aap karo
apane bas kii baat hii kyaa hai, hamase kyaa manavaaoge

Posted: Tue Jul 26, 2005 2:51 am
by Hashmat Usmani
kahaa thaa kis ne ke aHd-e-vafaa karo us se
jo yuuN kiyaa hai to phir kiuN gilaa karo us se


AHmad Faraaz

Posted: Tue Jul 26, 2005 5:01 pm
by PK Swami
haram se nikle talaashe buT meiN,buToN se yaad.e khudaa pe bigRee
garaz ham aawaara.e vafaa haiN, kaheeN hamaraa guzar naheeN hai

Naatiq


PK swami

Posted: Tue Jul 26, 2005 9:37 pm
by RAUSHNEE

Hamnasheen kehta hai kuch parwa nahi mazhab gaya
mein yeh kehta hon bhai yeh gaya tu sub gaaya

Posted: Wed Jul 27, 2005 1:46 am
by Hashmat Usmani
"Meer" ke deen_o_mazhab ko kia poochhte ho, unne to
qashqa khaiNchaa, dai'r emN baiThaa, kab kaa tark-e-islaam kiyaa


Meer Taqii "Meer"

Posted: Wed Jul 27, 2005 1:14 pm
by RAUSHNEE
tarraqee ki nayi rahein jo zer-e-asman niklein
mian masjid say niklay aur haram say bibiyan niklein

Posted: Thu Jul 28, 2005 1:55 am
by Hashmat Usmani
RAUSHNEE wrote:tarraqee ki nayi rahein jo zer-e-asman niklein
mian masjid say niklay aur haram say bibiyan niklein
waah Raush, waah! bahot Khoob she'r raqam kiyaa hai...kiska hai? Akbar Allahabadi ka? :wink:

be_parda kal jo nazar aayiiN chand bibiyaaN
"Akbar" Ghairat-e-qaumii se zamiiN meN gaR gayaa
poochhaa jo un se aapkaa pardaa vo kia huaa
kahne lagiiN ki 'aql pe mardoN ke paR gayaa
:lol: :lol: :lol: :lol: :lol:

Posted: Fri Jul 29, 2005 12:34 pm
by RAUSHNEE
Hashmat Usmani wrote:
RAUSHNEE wrote:tarraqee ki nayi rahein jo zer-e-asman niklein
mian masjid say niklay aur haram say bibiyan niklein
waah Raush, waah! bahot Khoob she'r raqam kiyaa hai...kiska hai? Akbar Allahabadi ka? :wink:

be_parda kal jo nazar aayiiN chand bibiyaaN
"Akbar" Ghairat-e-qaumii se zamiiN meN gaR gayaa
poochhaa jo un se aapkaa pardaa vo kia huaa
kahne lagiiN ki 'aql pe mardoN ke paR gayaa
:lol: :lol: :lol: :lol: :lol:

jee jee ! Bilkul AA ka he hai aur mazay ki baat yeh k is k baad mere zehan mein wohi sher tha jo aap nay likha

yeh sunyee


Najanay kaisee batein hain hum aurto'on kay PaRday mein
kabhee Akbar Sher kehtay hain Kabhi Haali ji Ghabrat hain
Dor-e-Akbar laut ayaa iss TEEN Saal kay arsay mein
Pehlay hum Parda chornay say ab kernay say sharmatay hain

Teen saal refers to the intial three years of Our Dear Parvez Musharraf !