Page 28 of 44

Posted: Fri Sep 22, 2006 3:20 am
by Daanish
'pasandeedah'

maana'ea-e-veHshat_Khiraamihaa-e-laila kaun hai
Khaana-e-majnoon-e-sehraagard bedarwaaza thha
--Ghalib

Posted: Sun Sep 24, 2006 5:43 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
janazah uTh~ geya kiyoN aatbaar-e-naz^ir ka

jo dostooN ne kiya kaash woh a'du karte.

Abdullah Nazir

Posted: Wed Sep 27, 2006 2:14 pm
by zmufti
dil bhii kho gayaa shaayad shahar ke suraabo.n me.n
ab merii tarah se hai dard bevatan meraa

Posted: Wed Sep 27, 2006 2:36 pm
by ummassad
khud piyaas ka sahera houn mager dil ki yeh zid hey
her doost pe saawen ki terha toot ke bersoon

Posted: Sat Oct 07, 2006 5:24 pm
by ummassad
aik ajnabi jhounkey ney jub puchaa merey gum ka sabbab
sahera ki bheegi reet per main ney likhkha aawargi

Posted: Mon Oct 09, 2006 12:56 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
koee bh~ee gosha-e-sukoon nah mila
zindagee kat gaee uRanooN meN.

(ustaaz-e-sukhan Abdullah nazir)

Posted: Sun Oct 15, 2006 3:01 am
by ummassad
aaya hi tha abhi merey lub pe wafaa ka naam
kuch doostoun ne haath main pather utthaliye.

Posted: Mon Oct 16, 2006 5:03 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ta'jub hai keh tareekh-e-gulistaaN meN sabhee khuch hai

magar khun-e-shaheedan-e-wafa ka tazkirah gum hai.


muz^affar aHmad muz^affar

pasandeedah

Posted: Thu Oct 26, 2006 11:54 am
by Abdullah Nazir



"Mujhko dekh umr kee is khwaab-fizaa manzil meiN

ikitne armaanaoN kaa dam ghounT ke bedaar hooN maiN".


Shaayer: ( yaad nahiN)



Nazir.


pasandeedah

Posted: Tue Nov 14, 2006 3:50 am
by Abdullah Nazir



"sanbhalne de mujhe ai naaumeedi kyaa qiyaamat hei

keh daamaan-e-khayaal-e-yaar chooTaa jaaye hei mujh se".


Shaayer: ( Ghalib )



Nazir.


Posted: Fri Nov 17, 2006 12:44 pm
by hassan_bashir
mujhe yeh zo'am ke maiN husn ka musavvar hooN
unheN yeh naaz ke tasveer to hamaari hai!!!!!!!!!!!!
:grin:

Posted: Fri Nov 17, 2006 4:49 pm
by hassan_bashir
bhalaa yeh baad-e-sabaa ham se kyaa chhupaatii hai?
hameN to haal-e-chaman hai *ZARAA ZARAA* ma'aloom!!!

Posted: Sat Nov 18, 2006 5:03 pm
by hassan_bashir
sara_j wrote:koii kali jali na gulon ke jigar jale
:Daana: shajar jale na parindon ke par jale
phaila hai kyun? fizaon mein rangeen sa dhuaan
sehn'e chaman mein lagta hai titli ke par jale
Vahh vahh!! bohat khuuub!

pasandeedah

Posted: Sun Nov 19, 2006 5:57 pm
by Abdullah Nazir



"rahegaa Hashr tak afsaanah baaqi ishq-baazaoN meiN

hamaari jaaNfishaani kaa tumhaari be-niyaazi kaa".


Shaayer: Hasrat Mouhani


Nazir.


Posted: Mon Nov 20, 2006 1:43 pm
by hassan_bashir
isii maNsab kaa talab-gaar hooN maiN bhii Aaqaa [s.a.w.]
khaak hooN maiN mujhe qadamoN se lagaaye rakhnaa!