Page 28 of 29
Posted: Wed Nov 29, 2006 6:51 am
by hassan_bashir
kyuuN aaj us ka Zikr mujhe khush na kar sakaa?
kyuuN aaj us ka naam mira dil dukhaa gayaa?
???
Posted: Fri Dec 01, 2006 11:43 am
by Abdullah Nazir
kiyuN maiN bhee duAaa maang nah loon haath uThaakar?
besood kisi shakhS kee meHnat nahiN jaati.
Nazir.
Posted: Mon Dec 04, 2006 7:57 am
by hassan_bashir
jaane kyuN kuNd ho gayaa nashtar?
zaKhm kii dhaar to vahii hai abhii!!
Posted: Sun Dec 10, 2006 1:35 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]ham se kiya ho ska muHabbat meN???
tu ne to khaer be wafaee kee.
(Firaq Ghorkapuri) [/align]
???
Posted: Tue Dec 12, 2006 12:23 am
by Abdullah Nazir
ishrat-e-saayah-e-gul yaad dilaate kiyuN hou
khwaab meiN aate hou kiyuN, neend uRaate kiyuN hou???.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Wed Dec 13, 2006 4:00 am
by Abdullah Nazir
sair-e-Aalam kuch nahiN juz tangiy-e-fikr o nazar
kitni wus'Aat hei hamaare dil meiN aakar dekhiye???.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Wed Dec 13, 2006 4:14 am
by Abdullah Nazir
jaadah-e-shauq meiN iqraar-e-tafaavut kaisaa
darmiyaaN khauf kee deewaar uThaate kiyuN hou???.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Fri Dec 15, 2006 2:38 am
by Abdullah Nazir
kashtiy-e-umr-e-rawaaN ke Doobne kaa khauf kyaa?
aarzoo hei beHr-e-ulfat kaa koyee saaHil nah hou..
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Sat Dec 16, 2006 5:53 am
by Abdullah Nazir
meraa quSoor kyaa hei ilzaam de nah mujhko???
chehrah hei surk teraa zulfaoN kee barhamee se..
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Mon Dec 18, 2006 3:50 am
by Abdullah Nazir
yaad-e-jaanaaN meiN dil-zaar kee betaabee hei
mashghalah koii nahiN shaam o saHar kyaa keeje??..
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Mon Dec 18, 2006 7:39 pm
by Abdullah Nazir
apne haathaoN se sanwaaregaaa tuuu meri dunyaa
yaa bikhar jaaooN tiri zulf-e-pareshaaN houkar???.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Dec 18, 2006 8:04 pm
by hassan_bashir
suun lii jo khuda ne voh duaa tum to naheeN ho?
darvaaze pe dastak kee sadaa tum to naheeN ho?
???
Posted: Tue Dec 19, 2006 6:47 am
by Abdullah Nazir
[align=center]be niyaazi tiri fiTrat meiN hei lekin zaalim
itnaa anjaan hei kiyN, behr-e-khudaa mil mujh se.
Shaayer: Abdullah Nazir.[/align]
Nazir.
Posted: Thu Dec 21, 2006 8:12 am
by hassan_bashir
ahad-e-vafaa aur tark-e-muhabbat jo chaaho so aap karo,
apane bas kii baat hii kyaa hai, hamase kyaa manvaaoge?
Posted: Sun Dec 24, 2006 6:25 am
by hassan_bashir
ahl-e-wafaa kii Khuun kii chhiiNTeN duur tak uRakar jaatii haiN,
meraa taRapnaa dekhane waale apanaa bhii daaman dekhaa hai?