Page 28 of 65

"maiN"

Posted: Sat Jul 09, 2005 12:32 pm
by Abdullah Nazir



maiN nah kahtaa thaa tumheiN Ahd nibhaanaa hougaa

aaj kiyuN karte hou dunyaa se shikaayat meri.


(aaj / meri)


Nazir.


Posted: Sun Jul 10, 2005 5:53 pm
by PK Swami
gayaa! par kuchh na kah paayaa maiN apnaa Haal-e-dil unse
kaf-e-afsos maltaa rai'h gayaa maiN chaarsoo barsoN

KhizaaN pamaal kar detee hai gulshan ke har ek gul ko
NaheeN jaataa magar qalb.o.jigar se rang.o.boo barasoN

Rafoogar dete aaye haiN tasallee umr bhar lekin
Jo dil par zakhm aa jaye naheeN hotaa rafoo barsoN


PK Swami

Posted: Tue Jul 12, 2005 2:56 am
by Hashmat Usmani
VO bazm meN aaye, itnaa to "MEER" me dekhaa
phir uske ba'd charaaGhoN meN raushnii na rahii


Meer taqi "MEER"
PHIR / RAHII

Posted: Tue Jul 12, 2005 2:29 pm
by PK Swami
phir na kije merii gustaakh nigahee kaa gilaa
dekhiye aap ne phir pyaar se dekhaa mujhko

PK Swami

Posted: Tue Jul 12, 2005 2:31 pm
by PK Swami
phir na keeje merii gustaakh nigahee kaa gilaa
dekhiye aap ne phir pyaar se dekhaa mujhko

PK Swami

"dekhiye"

Posted: Tue Jul 12, 2005 7:27 pm
by Abdullah Nazir



dekhiye ghaur se maiN aapka aayeenah hooN

sirf soorat hii nahiN dil bhii nazar aayegaa.


sirf / aayegaa


Nazir.


Posted: Tue Jul 12, 2005 9:50 pm
by RAUSHNEE
sirf ashk-o-tabassum mei.n ulajhe rahe
hamane dekhaa nahin zindagii ki taraf

Posted: Wed Jul 13, 2005 2:19 am
by Hashmat Usmani
ham dai'hr ke is viiraane meN jo kuchh bhii nazaara karte haiN
ashkoN kii zabaaN meN kahte haiN, aahoN se ishaara karte haiN


Mo'iin AHsan "Jazbii"
ASHKON / HAIN

"ye"

Posted: Wed Jul 13, 2005 2:13 pm
by Abdullah Nazir



yeh ishaare, yeh kinaaye, yeh tabassum, yeh adaa

sab ke sab heiN mujhe deewaanah banaane ke liye.


sab / liye


Nazir.


Posted: Wed Jul 13, 2005 5:24 pm
by PK Swami
voHee ghamzaa, voHee shokhee, voHee diwanaakun nazreN
tasawwar meiN bhee vo samaane vaHshat le ke aaye haiN


PK Swami

Posted: Fri Jul 15, 2005 9:34 pm
by RAUSHNEE
hain aur bhi sukhanwar zamanay mein achay
kehtay hain ghalib ka hai andaz-e-bayan aur

any correction


kehtay/aur

Posted: Sat Jul 16, 2005 1:28 pm
by RAUSHNEE
mein apni urdu ki teacher ka aik sher sunatee hon
mujhe bohat pasand hai
umeed hai aap ko bhi ayega




CHAHA hai tujhe bhi tu sar-e-aam hamesha
jo kaam bhi kerte hain chupaya nahi kertay

Posted: Sun Jul 17, 2005 4:37 am
by Hashmat Usmani
wow Raush...tumhaarii teacher to balaa kii shaai'ra haiN...zaraa ham se bhii milvaaiyegaa :wink:

jo bhii buraa bhalaa hai, Allaah jaantaa hai
bande ke dil meN kia hai, Allaah jaantaa hai


AKhtar Shiiraanii
BANDE / HAI

Posted: Sun Jul 17, 2005 3:18 pm
by PK Swami
aur kuchh poochho mizaaj.e dil.e nashaad abhee
mere naghmoN meiN hai kuchh talkhiy.e fariyaad abhee


PK Swami

"wo"

Posted: Mon Jul 18, 2005 2:48 pm
by Abdullah Nazir



wo muHabbat meiN kuch itnaa mujh se ghaafil hougayaa

aek veeraanah saa meraa khaana-e-dil hougayaa.


( aek / hougayaa)


Nazir.