Page 28 of 43
Posted: Fri Jul 29, 2005 7:15 pm
by Hashmat Usmani
javaab
Posted: Mon Aug 01, 2005 3:57 pm
by Abdullah Nazir
chand saa chehra dekhke soucha ghar meiN andheraa houjaayegaa
kisko khabr thii aap ke aajaane se saweraa houjayegaa.
Nazir.
javaab
Posted: Mon Aug 08, 2005 6:11 am
by Abdullah Nazir
safeenah unkaa aayaa bhii tou kab thehraa hei qismat se
tamaashah dekhtaa hii rehgayaa Nazir kinaare per.
Nazir.
javaab
Posted: Tue Aug 09, 2005 3:21 am
by Abdullah Nazir
jou bhii hounaa thaa houaa bhool bhii jaaou usko
faa'idah kuch bhii nahiN guzri houii baataoN se
Nazir.
Posted: Tue Aug 09, 2005 11:32 am
by Ibn-e-siddique
yaad to hoNgi voh baateN tujhe ab bhi lekin
shelf meiN rakhi hui band kitaaboN ki taraH
parveen shakir
javaab
Posted: Tue Aug 09, 2005 12:38 pm
by Abdullah Nazir
Ham se na chup sakegi kabhi tuu kahiN bhii hou
manoos sii hei phool kii khushboo kahiN bhii hou.
Nazir.
"javaab"
Posted: Wed Aug 10, 2005 3:11 am
by Abdullah Nazir
Saari dunyaa kii zabaaN per hei kahaani apni
chaahne waalaoN ko kyaa kam hei nishaani apni.
Nazir.
Posted: Fri Aug 12, 2005 1:17 am
by RAUSHNEE
hum na hotay tu kissi aur k charchay hotay
khilqat-e-sheher tu kehnay ko fasanay mangay
javaab
Posted: Sun Aug 14, 2005 1:42 am
by Abdullah Nazir
chup gayaa jalvah afrouz houkar koiee
ham idhar aur udhar dekhte reh gaye.
Nazir.
Posted: Sun Aug 14, 2005 12:31 pm
by Shummu
nigah-e-karam idhar bhi ae maalik-e-jahaN
maine bhi tera naam liya hai kabhi-kabhi
javaab
Posted: Mon Aug 15, 2005 3:03 am
by Abdullah Nazir
jab bhii uThaaye haath tujhe mangtaa rahaa
maiN kab yeh chaahtaa thaa duAa meiN acar nah hou.
Nazir.
javaab
Posted: Wed Aug 17, 2005 6:22 am
by Abdullah Nazir
aapkaa dil dekhne ke shuq meiN
bhool baiThaa hooN maiN apne aap ko.
Nazir.
javaab
Posted: Wed Aug 17, 2005 1:32 pm
by Abdullah Nazir
tu jahaaN mile mujhe wo muqaam azeez he
miri jaan teraa her ik payaam azeez hei.
Nazir.
javaab
Posted: Wed Aug 17, 2005 1:48 pm
by Abdullah Nazir
color=blue]
Hudood-e-ishq kii tafseer agar kuch hei tou bus yeh hei
keh insaaN marke bhii apni nishaani chouR jaataa hei.
[/color]
Nazir.
javaab
Posted: Wed Aug 17, 2005 2:05 pm
by Abdullah Nazir
tum dil meiN mire aag muHabbat kii lagaakar
jaate houe soorat bhii dikhaate nahiN mujhko.
Nazir.