Page 29 of 44

Posted: Mon Nov 20, 2006 3:20 pm
by kabir
Na jaanay kaun sa fiqra kaha'n raqam ho jaaye
Dilo'n ka haal bhi ab kaun kis say kehta hai.

pasandeedah

Posted: Tue Nov 21, 2006 5:26 am
by Abdullah Nazir



"qinaaAat kee badaulat ghaayat-e-be-iHtiyaaji ne

faqeeri meiN bhee hamko be-niyaaz-e-ahl-e-zar rakhkhaa".


Shaayer: Maulana Hasrat Badauni



Nazir.


pasandeedah

Posted: Tue Nov 21, 2006 6:28 am
by Abdullah Nazir



"pilaa her aek ko her aek per navaazish kar

magar yeh sharT hei pahle mujhe pilaa ke pilaa".


Shaayer: SaHibzaadah :maikash: Hyd.



Nazir.


Posted: Wed Nov 22, 2006 1:34 pm
by hassan_bashir
chalte chalte thaka gaye to pucha paauN ke ChhaaloN ne,
kitani basti door bana lii dil maiN basne vaaloN ne?!
:cry:

pasandeedah

Posted: Wed Nov 22, 2006 2:40 pm
by Abdullah Nazir



"hech ham samjhe do Aalam ko tou Hairat kyaa hei

rutbe ushshaaq ke is se bhee siwaa houte heiN.".


Shaayer: Maulana Hasrat Badauni



Nazir.


Posted: Thu Nov 23, 2006 11:47 am
by hassan_bashir
aaiinaa ye to bataataa hai k maiN kyaa huuN, magar?
aaiinaa is pe hai Khamosh ke kyaa hai mujh meiN!

Posted: Thu Nov 23, 2006 11:59 am
by praise
u.nhe.n ye zid ki mujhe dekh kar kisii ko na dekh
meraa ye shauq ki sab se salaam karataa chaluu.N

Posted: Thu Nov 23, 2006 12:03 pm
by hassan_bashir
praise wrote:u.nhe.n ye zid ki mujhe dekh kar kisii ko na dekh
meraa ye shauq ki sab se salaam karataa chaluu.N
koee baat miree naheeN maanate tum,
ho ziddi magar is qadar kis liYe ho? :evil:



~ Ayesha "Anmol" ~

Posted: Thu Nov 23, 2006 12:05 pm
by praise
jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad
aur ba.D jaatii hai afsurdaadilii shaam ke baad

Posted: Thu Nov 23, 2006 12:15 pm
by hassan_bashir
praise wrote:jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad
aur ba.D jaatii hai afsurdaadilii shaam ke baad
tuu hai suuraj tujhe maaluum kahaaN raat kaa dukh
tuu kisii roz mere ghar meiN utar shaam ke baad
:cry:

Posted: Thu Nov 23, 2006 8:51 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Hafeez^ apne parae ho rahe haiN
keh maiN dil kee zabaaN par la raha hooN.

(Hafeez^ Jalandh~aree)
[/align]

Posted: Fri Nov 24, 2006 10:20 am
by hassan_bashir
Haram kee zameeN aur qadam rakh k Chalanaa,
arre SAR ka mauqaa hai ao jaane vaale!!!!!!!!!!!!



~ Aala Hazrat :rahma: ~

pasandeedah

Posted: Sun Nov 26, 2006 2:27 pm
by Abdullah Nazir



"ShamA parde meiN jali jtou kyaa houaa

ham peh sab aHwaal raushan hougayaa".


Shaayer: MuSHafii



Nazir.


Posted: Tue Nov 28, 2006 6:16 am
by hassan_bashir
mumkin hai zameeN ho voh kisee aur jahaaN kee
tuu jis ko samjhtaa hai falak apne jahaaN kaaaa

pasandeedah

Posted: Tue Nov 28, 2006 6:21 am
by Abdullah Nazir



"kara-e-Haq se hei gulzaar-e-tavakkul sarsabs

kaT ke daryaa se mire baagh meiN jou aati hei".


Shaayer: Haider Ali :aatish:



Nazir.