Page 29 of 65
Posted: Sun Jul 24, 2005 7:32 pm
by RAUSHNEE
Hashmat Usmani wrote:wow Raush...tumhaarii teacher to balaa kii shaai'ra haiN...zaraa ham se bhii milvaaiyegaa
[/u][/b][/color]
kia mera deemgh kharab lagat hai tumko ?
Posted: Tue Jul 26, 2005 2:44 am
by Hashmat Usmani
aazaadii pe apni mar ke miTnaa Khoob se hai Khoob_tar
ai merii jaan-e-HaziiN, yuN muskuraanaa aur phir ronaa tiraa
Aslam sai'hbaa
AI / TIRAA
Posted: Tue Jul 26, 2005 3:34 am
by Hashmat Usmani
manzil-e-jaanaaN ko jab yeh dil ravaaN thaa, dosto!
tum ko maiN kaise bataauuN kia samaaN thaa, dosto!
Jagan Naath "Azaad"
TUM / DOSTO
Posted: Tue Jul 26, 2005 4:27 pm
by PK Swami
tum hee nahiN ho kushta-e-neeraNg-e-rozgaar
matam kade meN dahar ke lakhoN haiN sogwaar
PK Swami
Posted: Wed Jul 27, 2005 2:19 am
by Hashmat Usmani
maatam hai vahaaN aaj jahaaN kal tak
KhushiyoN kaa baseraa thaa har har soo
[naa_ma'loom]
KHUSHIYON / SOO
khushiyaoN
Posted: Wed Jul 27, 2005 4:03 am
by Abdullah Nazir
khushiyaoN ke AaTr bez gulistaaN meiN tum rahe
aawaaragiy-e-dasht meiN martaa rahaqa hooN maiN."
aavaaragi / maiN
Nazir.
Posted: Wed Jul 27, 2005 5:48 am
by Hashmat Usmani
us bazm me.n mujhe nahii.n banatii hayaa kiye
baiThaa rahaa agarche ishaare huaa kiye
Mirzaa Asadullah KhaaN "Ghaalib"
BAITHAA / KIYE
Posted: Thu Jul 28, 2005 6:26 pm
by Hashmat Usmani
hai bas_ki har ik unke ishaare meN nishaaN aur
karte haiN moHabbat to guzartaa hai gumaaN aur
Mirzaa Asadullah KhaaN "Ghaalib"
KARTE / AUR
Posted: Fri Jul 29, 2005 6:08 am
by Hashmat Usmani
raat bhii niind bhii kahaanii bhii
haaye kyaa chiiz hai javaanii bhii
Firaq Gorakhpuri
HAAYE / BHI
Posted: Fri Jul 29, 2005 6:09 am
by Hashmat Usmani
raat bhii, niind bhii, kahaanii bhii
haaye! kyaa chiiz hai javaanii bhii
Firaq Gorakhpuri
HAAYE / BHI
Posted: Sun Jul 31, 2005 6:11 am
by Hashmat Usmani
dhuup ke saath gayaa saath nibhaane_vaalaa
ab kahaaN aayegaa vo lauT ke aane_vaalaa
Wazeer AGha
AB / WAALAA
jis TaraH
Posted: Wed Aug 03, 2005 4:14 am
by Abdullah Nazir
Jis TaraH bhii housake ik baar milne aayiye
aapko meri qasam mujh per karam farmaayiye.
aapko / farmaayiye
Nazir.
"raath bhar"
Posted: Sat Aug 06, 2005 3:13 am
by Abdullah Nazir
raat bhar saath nah thaa koii yahaaN tere siwaa
khwaab meiN bhi nazar aati rahii jannat mujhko.
khwaab / mujhko
Nazir.
Posted: Sat Aug 06, 2005 9:06 pm
by Shummu
tum haqeeqat nahiN ho Hasrat ho
jo miley khwaab mein wo daulat ho
--jaun eliya
JO/HO
Posted: Sun Aug 07, 2005 3:04 am
by shahnaz zafar
ho chukiiN Ghalib balayN sab tamaam
ek marge naagahaani aur hai
ek /hai