Page 29 of 43
javaab
Posted: Fri Aug 26, 2005 11:18 pm
by Abdullah Nazir
uzr mujh se na kiyaa kar keh muSir hooN maiN bhi
tujhko jiss roop meiN bhi chahoogaa, maiN dekhungaa.
Nazir.
javaab
Posted: Sun Aug 28, 2005 4:02 am
by Abdullah Nazir
hazaarouN pardaoN meuN chupkar tuu chup nahiN saktaa
maiN dekhloonga tujhe ik zaraa sii ghaflat meiN
Nazir.
javaab
Posted: Sun Aug 28, 2005 4:19 am
by Abdullah Nazir
Tuu mere saamne rehkar bhii mujh se ghaafil hei
maiN tujh se door bhi rehkar qareeb hooN tujh se.
Nazir.
javaab
Posted: Sun Aug 28, 2005 4:19 pm
by Abdullah Nazir
Tere andaaz-e-jafaa ko jaan kar anjaan hooN
khauf hei is baat kaa bad dil nah houjaauN kahiN.
Nazir.
javaab
Posted: Fri Sep 02, 2005 4:09 am
by Abdullah Nazir
kaun Dartaa hei dushman-t-jaaN se
ham tumhaari adaa se Darte heiN,
Nazir.
[/b][/size][/color]
javaab
Posted: Wed Sep 07, 2005 2:40 pm
by Abdullah Nazir
sanbhal nah paaungaa hergiz, tiri adaa ki qasam
nah de khudaa ke liye ab mujhe wafaa kii qasam.
Nazir.
javaab
Posted: Tue Sep 20, 2005 12:52 pm
by Abdullah Nazir
naam le le ke khudaa kaa mujhe Dasne waale
if tiraa kaaTaa houvaa kaise jiye dunyaa meiN.
Nazir.
javaab
Posted: Tue Sep 27, 2005 6:50 am
by Abdullah Nazir
[u[Dil diyaa jaan bhii Haazir hei, magar tuu ne mujhe
kyaa diyaa hei bhalaa ik waAda-e-d-fardaa ke siwaa.[/u]
Nazir.
javaab
Posted: Tue Sep 27, 2005 6:51 am
by Abdullah Nazir
[u[Dil diyaa jaan bhii Haazir hei, magar tuu ne mujhe
kyaa diyaa hei bhalaa ik waAda-e-d-fardaa ke siwaa.[/u]
Nazir.
javaab
Posted: Sun Oct 02, 2005 3:56 pm
by Abdullah Nazir
kisi zaalim se roodaad-e-dil-e-giryaaN bayaaN kiyuN hou
takalluf barTaraf, moNh meiN jou hou bhii tou zabaaN kiyuN hou.
Nazir.
Javaab
Posted: Tue Oct 04, 2005 7:40 pm
by Abdullah Nazir
Chalo mujhko kisi Soorat chupaalo apni khalwat meiN
mire sar per bhalaa routaa houaa yeh aasmaaN kiyuN hou.
Nazir.
"javaab"
Posted: Mon Oct 10, 2005 1:42 am
by Abdullah Nazir
kitaab-e-shauq kaa her baab paRhtaa rehtaa hooN
waraq waraq pah nazar aati jaati rehti hei.
Nazir.
javaab
Posted: Sat Oct 22, 2005 4:20 pm
by Abdullah Nazir
keh diyaa maiN ne mudduAaay-e-dil
aage ab tere ikhtiyaar kii baat.
Nazir.
Posted: Mon Nov 28, 2005 2:30 am
by Hashmat Usmani
ye kis maqaam pe pahoNchaa diyaa zamaane ne
k ab Hayaat pe teraa bhii iKhtiyaar nahiiN
SaaHir Ludhianvii
ASALAMALIKUM
Posted: Wed Nov 30, 2005 7:45 pm
by ummassad
AZAIM GINKE OUNCHE AOR OUNCHA BAKT HOTA HAE
ZAMANE MAIN UNHI KA IMTIHAN SAKT HOTA HAE