Page 30 of 44
Posted: Tue Nov 28, 2006 6:28 am
by hassan_bashir
sara_j wrote:jab main kahta hoon ke ya Allah mera haal dekh
hukm hota hai ke apna naamaye aamaal dekh
'Akbar Allahabadi'
Vahhhh!!!
aatee hai baat baat mujhe baar baar yaad,
kehta huuN dauR dauR ke qaasid se raah maiN!
pasandeedah
Posted: Tue Nov 28, 2006 4:17 pm
by Abdullah Nazir
"dam nah le aiy acar-e-naalah ke maAloom houaa
jin peh dam dete heiN ham, wo hameN dam dete heiN".
Shaayer: Mumin Khan :Mumin:
Nazir.
Posted: Wed Nov 29, 2006 6:54 am
by hassan_bashir
sauNpaa tumheN Khudaa ko Chale ham to naamuraad,
kuchh paRh ke baKhshanaa jo kabhii yaad aayeN ham!
===
Posted: Fri Dec 01, 2006 11:33 am
by Abdullah Nazir
Mujhe gar yaad reh jaate tou maiN shayad keh marjaataa
zaraa si baat ke us ne jou afsaane banaa Daale.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Dec 04, 2006 8:00 am
by hassan_bashir
haNs haNs ke javaaN dil ke ham kyuN na chuneN TukaRe
har shaKhs kee qismat meiN inaaaaaaaaaam nahiin hotaa
Posted: Wed Dec 06, 2006 9:56 am
by hassan_bashir
laayii hayaat, aayii qaza, le chalii chale,
apnii khushii se aaye, na apnii khushii chale!!
Posted: Thu Dec 07, 2006 6:31 am
by hassan_bashir
dar-e-ka'aba pe jhukeN yaa k tirii chaukhaT par?
baNde allaah ke haiN, tere tamannaa'ii bhii
R.K. "Qais"
pasandeedah
Posted: Fri Dec 08, 2006 3:30 am
by Abdullah Nazir
tire aazaad bandaoN kee nah yeh dunyaa nah wo dunyaa
yahaaN marne kee paabundi vahaaN jeene kee paabundi".
Shaayer: Iqbal
Nazir.
Posted: Fri Dec 08, 2006 8:56 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]chaman meN faSl-e-gul aaee hai Saraa
diYa paeGhaam Yeh bad-e-Saba ne!
(Saraa JabeeN)[/align]
pasandeedah
Posted: Sat Dec 09, 2006 3:11 am
by Abdullah Nazir
"zamaane meiN agar koyee nahiN apnaa tou kyaa parvaa
kisiee se kyaa gharaZ mujhko keh meraa aasraa tum hou".
Shaayer: Hasrat Mohaani
Nazir.
Posted: Sun Dec 10, 2006 7:17 am
by hassan_bashir
jaane kyaa TuuTa hai paimaaaaaaaana k dil hai meraa
BIKHARE-BIKHARE haiN khayaalaat mujhe hosh naheeN
pasandeedah
Posted: Sun Dec 10, 2006 12:24 pm
by Abdullah Nazir
housh kis ko thaa bhalaa housh tou ab aayaa hei
jabkeh daaman hei salaamat nah girebaaN SaaHib.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Dec 10, 2006 1:12 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
mujhe tasleem hai tune muHabbat mujh se kee ho gee
magar Halaat ne iz^haar kee mohlat nah dee ho.
(Ahmad nadeem qasami)[align=center][/align]
Pasndeedah
Posted: Mon Dec 11, 2006 6:38 am
by Abdullah Nazir
"gham-e-ishq rehgayaa hei gham-e-justajoo meiN Dhal kar
wo nazar se chup gaye heiN miri zindagi badal kar".
Shaayer: Shakeel Badauni.
Nazir.
???
Posted: Mon Dec 11, 2006 4:20 pm
by Abdullah Nazir
aankh meiN taab kahaaN hei tiraa jalwah dekhe
apne deewaane ko deewaanah banaataa kiyuN hei?.
Shaayer: Abdullah Nazir.
jab / hei
Nazir.