Page 30 of 65

"ek"

Posted: Sun Aug 07, 2005 3:36 am
by Abdullah Nazir



ek baat, ijaazut hou tou poochonga maiN un se

MaiN khaSm nahiN thaa tou mujhe bhool gaye kiyuN


maiN / kiyuN


Nazir.


Posted: Sun Aug 07, 2005 12:10 pm
by RAUSHNEE
main na kehta tha tumhain AHD nibhaana ho ga
ab kiyon kerte ho dunya say shikayat meri

Posted: Mon Aug 08, 2005 11:45 am
by Shummu
maiN kuch na kahooN aur ye chaahooN ke miree baat
khushboo ki taraH uR ke tire dil meiN utar jaaye


khushboo/jaaye

"jab"

Posted: Wed Aug 10, 2005 3:15 am
by Abdullah Nazir



jab mahak uThte heiN dil meiN tiri yaadaoN ke gulaab

souchtaa hooN ke miri raat kaTegi kaise.


souchtaa / kaise


Nazir.


Posted: Wed Aug 10, 2005 9:31 am
by Shummu
Kaise Ham-dard Ho Tum Kaisee Masihaayee Hai,
Dil Pe Nashtar Bhi Lagaate Ho To Marham Ki tarah


DIL/TARAH

Posted: Thu Aug 11, 2005 2:01 am
by RAUSHNEE
dil yeh kehta hai k shayad ho fasurada tu bhi
dil ki kia baat karein dil tu hai nadan janan

itnaa

Posted: Sun Aug 14, 2005 1:50 am
by Abdullah Nazir



itnaa karm bhii hou nah sakaa tum se pyaar meiN

gulgasht ke liye kabhi aate bahaar meiN.


gulguhast / meiN


Nazir.


hardam

Posted: Wed Aug 17, 2005 6:01 am
by Abdullah Nazir



her dam tumhaari yaad ne rakhkhaa hei muSTarib

kaise sanbhaaloon apne dil-e-beqaraar ko.


kaise / ko


Nazir.


"dil"

Posted: Thu Aug 18, 2005 9:53 am
by Abdullah Nazir



dil kii baat samajhkar bhi tum kiyuN anjaan se rehte hou

maiN tum se kyaa maangrahaa hooN tum mujh se kyaa kahte hou.


maiN / hou


Nazir.


Posted: Fri Aug 19, 2005 11:51 am
by Shummu
us ne dekhaa hii nahiiN dard kaa aaghaaz abhii
ishq ko apanii tamannaaoN pe hai naaz abhii


ishq/abhii

"ishq"

Posted: Fri Aug 19, 2005 4:50 pm
by Abdullah Nazir



ishq meiN dil shikani hei tiraa andaaz abhi

chaiR mat mujhko khudaaraa mire hamraaz abhi.


chaiR / abhi


Nazir,


"use"

Posted: Sun Aug 21, 2005 3:25 am
by Abdullah Nazir



Use khabar nah houi kis qadar udaas thaa maiN

hamesah wada hii kartaa rahaaa, nibhaa nah sakaa.


hamesha /saka


Nazir.


"kisi"

Posted: Fri Aug 26, 2005 11:02 pm
by Abdullah Nazir



kisi ke waAda-e-fardaa kaa iAtibaar tou hei

magar wafaa ki tavaqquA mujhe nahiN hei abhi.


magar / abhi


Nazir.


"mera"

Posted: Sun Aug 28, 2005 2:37 am
by Abdullah Nazir



meraa zauq-e-nigah-e-tishna-e-deedaar alag

aur mujh se tiri her rouz kii takraar alag.


aur / alag


Nazir.


Posted: Sun Aug 28, 2005 12:16 pm
by Shummu
sitaaroN se aage jahaaN aur bh`ee haiN
abh`ee i`shq ke imtiHaaN aur bh`ee haiN

abhi/hain