Page 30 of 43
javaab
Posted: Mon Dec 19, 2005 12:35 pm
by Abdullah Nazir
DhoonDti heiN jise betaab nigaaheN meri
chaand kii TarH falak per hei rihaayish uski
Nazir,
Posted: Wed Dec 21, 2005 2:47 pm
by ummassad
ZUBAN-E- HALL AKSER TARJUMAN -E- DIL NAHI HOTI
SAMA'AT PER HAI LAZIM CHASHAM -E- TER SE RABITA RAKHANA
Posted: Sun Dec 25, 2005 8:25 pm
by RAUSHNEE
kabhi baithe sub mein jo ro ba ro tu isharato'n hi say guftugu
woh bayan shoq ka barmala , tumhain yaad ho k na yaad ho
Posted: Mon Dec 26, 2005 4:33 am
by Hashmat Usmani
yaad e maazii 'azaab hai, yaa Rab!
mujh se chheen le Haafiza meraa
Posted: Tue Dec 27, 2005 4:03 pm
by ummassad
yadoon ke hashiye bhi bahot aahim hain mohsin
deemak lagi kitab ko aahista khooliye
javaab
Posted: Sun Feb 05, 2006 1:11 pm
by Abdullah Nazir
jitne bhii sheAr likhkhe thay maiN ne javaab meiN
meHfooz aaj bhii heiN wo dil kii kitaab meiN.
Shayer: Nazir.
Nazir.
javaab
Posted: Tue Feb 07, 2006 2:34 am
by Abdullah Nazir
tuu le chalaa hei ai dil-e-Hasrat-zadah kahaaN
apnaa javaab Dhoond rahaa hooN sawaal meiN.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Feb 09, 2006 3:31 am
by ummassad
seene main dharakti hui ak shey se nimatna
yh kohkani bhi hey yahi shesha gari bhi
Posted: Mon Feb 13, 2006 9:51 pm
by ummassad
dil hi tu hy na sung.o.khishat dard se bhar na aaye kyun
rooainge hum hazaar bar koi hamin sataaye kyun
Javaab
Posted: Sun Feb 19, 2006 2:33 pm
by Abdullah Nazir
PhoolaoN ke rukhsaaraoN per hei jin qaTraoN kii aaraayish
unko ashk-e-ravaaN kehkar kiyuN :Nazir: ko naashaad kareN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Feb 19, 2006 10:15 pm
by ummassad
yh dastoor.e.zubaan bandi hy kysa teri mahfil main
yahan tu baat karne ko taresti hy zubaan meri
javaab
Posted: Mon Feb 20, 2006 3:22 am
by Abdullah Nazir
sitam aur us pah khamoushi kaa Hukm ai Sayyaad
ZabaaN taRapti rahegi dahan meiN rehne tak.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Feb 25, 2006 4:34 am
by ummassad
yh khamooshi kahan tek lazat.e. faryad pyda ker
zameen pe tu ho aor teri sada ho aasmanoo main
javaab
Posted: Sat Feb 25, 2006 3:21 pm
by Abdullah Nazir
be-niyaaziy-e-dil hei, zindagi kaa sarmaayah
warnah raah-e-ulfat meiN, ham kabhi ke marjaate.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
javaab
Posted: Sun Feb 26, 2006 1:19 pm
by Abdullah Nazir
zehr-e-ayyaam kaa tiryaaq kahaaN tak DhoonDooN
jaam-e-hasti meiN koii shehd bhi ghoule tou sahi.
Shaayed: Abdullah Nazir.
Nazir.