Page 4 of 6

Posted: Thu May 19, 2005 11:33 pm
by najma
nazar neechii kii ti haya ban gaee, nazar oonchii ki todua ban gaee
nazar tichii kii to haya ban gaee, nazar pher lii to qazaa ban gaee

Posted: Fri May 20, 2005 12:27 am
by Hashmat Usmani
bas ik nigaah-e-karam hai kaafii agar uNheN pesh_o_pas nahiiN hai
zah-e-tamannaa k merii fitrat asiir-e-Hirs_o_havas nahiiN hai


Shakeel Badaayuunii

Posted: Fri May 20, 2005 12:28 am
by najma
nazar milaa na sake us se us nigaah ke ba'd
vohii hay Haal hamaaraa jo ho gunaah ke ba'd

Posted: Fri May 20, 2005 12:39 am
by Hashmat Usmani
tere jalve ab mujhe har suu nazar aane lage
kaash! yeh bhii ho k mujh meN tuu nazar aane lage


Saba AfGhaanii

Posted: Fri May 20, 2005 12:48 am
by najma
muqabil hay mujh insaan ke ye ehd-e-nau ka aainah
is aaine meiN lekin qadd nazar aataa hay kam mera
khawar

Posted: Fri May 20, 2005 1:03 am
by Hashmat Usmani
kuchh is taraH se nazar se guzar gayaa koii
k dil ko Gham kaa sazaa_vaar kar gayaa koii


Hafeez Hoshiyaarpurii

Posted: Fri May 20, 2005 2:05 am
by najma
poocha kisi ne jab miri barbaadiyoN ka haal
kuch dostoN ke naam nazar se guzar gaey
najma

Posted: Fri May 20, 2005 2:12 am
by najma
kar gaee kaam pehlii fursat meiN
haey wo ik nazar, mohabbat-paash
najma

nigaah

Posted: Fri May 20, 2005 2:17 am
by Abdullah Nazir



gharq-e-jamaal-e-Aariz o lab hei miri nigaah

MoNh phair kar nah keejiye Saahib khafaa mujhe.



Nazir.


Posted: Fri May 20, 2005 2:24 am
by najma
muqabil hay mujh insaan ke ye ehd-e-nau ka aainah
is aaine meiN lekin qadd nazar aataa hay kam mera
khawar

nigaah

Posted: Fri May 20, 2005 2:27 am
by Abdullah Nazir



Teri nigaah-e-naaz ne mashoor kardiaa

dekhaa nah jaaye hei tire Husn o jamaal ko.




Nazir.


Posted: Fri May 20, 2005 2:30 am
by najma
fitrat ki nazar hay hangama-khez
hay aql bhi lekin fitna-khez
khawar

Posted: Fri May 20, 2005 2:35 am
by najma
ehl-e-sarwat ko jahaaN-baani ka hay Ghurra-o-shauq
ehl-e-daanish ki nazar meiN hay ab insaaf adeem
khawar

Posted: Fri May 20, 2005 2:40 am
by najma
nigah-e-firdaus beeN se khawar! agar koee ab chaman ko dekhe
bahaar-e-hastii haqeeqatan ik sada-suhagan banii huee hay
khawar

Posted: Fri May 20, 2005 4:20 am
by Hashmat Usmani
na thii apnii buraaiyoN kii jo Khabar
rahe dekhte auroN ke 'aib_o_hunar
paRii apnii braaiyoN pe jo nazar
to, nigaah meN koii buraa na rahaa


Bahaadur Shaah "Zafar"