Page 4 of 5

Posted: Fri May 27, 2005 9:00 am
by syed bilal armaan
yeh aarzoo thi tujhe gul ke roo baroo karte
ham aur bulbul-e-betaab guftagu karte

aarzoo

Posted: Fri May 27, 2005 12:32 pm
by Abdullah Nazir



Muhabbat meiN nah karte aarzoo tou aur kyaa karte

yehi tou ek Tareeqah thaa kisi ko aazmaane ka.


fil...


Nazir.


Posted: Fri May 27, 2005 12:35 pm
by najma
aarzoo ka fasanah kaun sune
aarzoo be-zabaan hotii hay
najma

Posted: Fri May 27, 2005 12:57 pm
by Hashmat Usmani
dil kii yeh aarzoo thii koii dil_rubaa mile
ab tak to jo bhii dost mile, be_vafaa mile

Posted: Sat May 28, 2005 3:00 am
by Hashmat Usmani
maiN aur us Guncha_dahan kii aarzuu
aarzuu kii sadgii thii maiN na thaa


Abdul Hameed Adam

Posted: Sat May 28, 2005 3:58 am
by Hashmat Usmani
'ishq kii maar baRii dardiilii, 'ishq meN jii na phaNsaanaa jii!
sab kuchh karnaa, 'ishq na karnaa, 'ishq se jaan bachaanaa jii


Ganesh Bihari "Tarz"

Posted: Sat May 28, 2005 9:21 am
by najma
fuGhaaN ka zikr kareN, aarzuu ki baat kareN
isee bahaane kisii Khoobroo kii baat kareN

Posted: Sat May 28, 2005 2:14 pm
by zmufti
Aarzoo noor-e-haqeeqat ki hamarey dil meiN hai
laila-i-zauq-e-talab ka ghar issi mehmil meiN hai

aarzoo

Posted: Sun May 29, 2005 8:29 pm
by Abdullah Nazir



shikast-e-aarzoo per dil kii naadaani pah hanstaa hooN

jafaa kartaa hei woh, meri pareshaani nahiN jaati.



Nazir.


Posted: Mon May 30, 2005 5:08 pm
by Hashmat Usmani
dil meN mahek rahe haiN kisii aarzuu ke phuul
palkoN meN khilne_vaale haiN shaayad lahuu ke phuul


Javed AKhtar

Posted: Mon May 30, 2005 10:18 pm
by najma
ye aarzoo bhi baRee cheez hai, maghar humdam!
wisaal-e-yaar faqat Aarzoo ki baat naheeN

Posted: Tue May 31, 2005 2:29 am
by Taskeen
Na ummeedi barh gayee hai kuchh is qadr
Aarzoo ki aarzoo hone lagi hai

Posted: Tue May 31, 2005 11:15 am
by najma
mire dil kidhakanoN meiN tira naam aagayaa hay
mujhe aarzoo thi siki, wo muqaam aagayaa hay

Posted: Wed Jun 01, 2005 12:17 pm
by najma
baat karne mein wo un-aaNkhoN se amrit Tapkaa

arzoo dekhte hii munh mein bhar aayaa paanii

Posted: Wed Jun 01, 2005 7:47 pm
by zmufti
weeraN haiN jaam paas karo kuch bahar ka
dil aarzoo se pur karo aankhien laho se pur