Page 4 of 9

Posted: Wed Jun 01, 2005 11:54 pm
by najma
tuu hay har-jaaee to apna bhi yehii taur sahii
tuu naheeN, aur sahii, aur naheeN, aur sahii

Posted: Thu Jun 02, 2005 12:04 am
by Hashmat Usmani
najma wrote:tuu hay har-jaaee to apna bhi yehii taur sahii
tuu naheeN, aur sahii, aur naheeN, aur sahii
shukria aapkaa bahot bahot Hamsheera saaHiba ki aapne mujhe mukammil she'r 'ataa farmaayaa...dusra misr'a zad e har zabaan hai.

:idea: aap kiuN na ek silsila shur'u kijiiye jis meN aise ash'aar chaspaaN kiye jaayeN jinkaa ek misr'a zad-e-zubaan-e-'aam ho. isse aHbaab ko mukammil ash'aar moyassar aa sakeNge. shukria. :idea:

tere badan kaa alaao ho merii saaNsoN meN
kabhii vo lamHaa bhii ik baar jaan-e-jaaN guzre


Hafeez Aatish

Posted: Thu Jun 02, 2005 12:20 am
by najma
tehreek-e-tark-e-ehd hay ab har qasam ke saath
joRa hay yuuN wafaaoN se rishtah sitam ke saath

Posted: Thu Jun 02, 2005 1:16 am
by Hashmat Usmani
tamaam 'umr kaa Hisaab maangtii hai zindagii
maangtii hai zindagii
yeh meraa dil kahe to kia, yeh Khud se sharm_saar hai
yeh Khud se sharm_saar hai
yeh kia jaghe hai, dosto!...


Shahryaar

"te"

Posted: Thu Jun 02, 2005 3:09 am
by Abdullah Nazir



Tabassum us ke lab per thaa ke bijli sii chamakti thii

mire dil kaa nasheman zad meiN thaa :Nazir: maiN kyaa kartaa.


fil.............

Nazir.


Posted: Thu Jun 02, 2005 12:07 pm
by najma
tum un ke wa,de ka zikr un se kyuuN karo Ghaalib!
ye kya, keh tum kaho, aur wo kaheN keh yaad naheeN
Ghalib

"te"

Posted: Fri Jun 03, 2005 11:10 am
by Abdullah Nazir



tamanna'aoN kaa khooN karke milaa karte hou yooN mujh se

keh jaise bakhsdi houN saari khushiyaaN zindagaanii kii.



Nazir.


Posted: Fri Jun 03, 2005 12:59 pm
by najma
tant ke waqt meiN apnoN se na munh pher, keh tuu
daulat islaam ki hay, kufr ka iqbaal naheeN
zafar ali

?te"

Posted: Fri Jun 03, 2005 5:27 pm
by Abdullah Nazir


tajziyah karte rahe loag tiri baataoN ko

mujhko yeh fikr thii, aayeenah muqaabil tou nahiN[/u\


Nazir.


Posted: Fri Jun 03, 2005 6:44 pm
by najma
tire shaheedoN ke aagay na rang pakRe ga
hazaar rang se ho lala-e-gulistaaN surkh

aatish

Posted: Sun Jun 05, 2005 12:46 am
by najma
rire pyaar ka aasra chahtaa hooN
wafa kar rahaa hooN, wafa chaahtaa hooN

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:09 am
by Hashmat Usmani
tere badan meN dhaRakne lagaa huuN dil kii taraH
yeh aur baat k ab bhii tujhe sunaaii na duuN


AHmad faraaz

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:13 am
by najma
tum se hua na dard-e-dil-e-zaar ka ilaaj
phir kon se maraz ki batao, dawaa ho tum

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:22 am
by Hashmat Usmani
taasiir to taasiir, tasavvur hai gurezaaN
raatoN ko zaraa maaNgiye uTh uTh ke duaa aur


Shakeel Badaayuunii

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:26 am
by najma
tujh ko paane ke liye, khud ko miTaane ke liye
maiN ne kya kya ajab ohaam tarashe aiy dost!
khawar