Page 4 of 17
Posted: Tue Jul 12, 2005 7:53 am
by PK Swami
husn.e roz afzooN pr ghurra
kis liye ai maH.e roo ?
yooN hee ghaTaa jayegaa
jitnaa k baRhtaa jaye hai !
PK Swami
Posted: Wed Jul 13, 2005 2:27 am
by Hashmat Usmani
aalaam-e-roz_gaar ko aasaaN banaa diyaa
jo Gham huaa use Gham-e-jaanaaN banaa diyaa
AsGhar GonDvii
Posted: Wed Jul 13, 2005 5:49 pm
by PK Swami
keH do ye koHkan se k marnaa naheeN kamaal
mar mar ke hizr.e yaar meiN jeenaa kamaal hai
PK Swami
Posted: Wed Jul 13, 2005 8:06 pm
by Hashmat Usmani
chala jaataa huuN haNstaa kheltaa mauj-e-Hawaadis se
agar aasaaniiyaaN hoN, zindagii dushwaar ho jaaye
AsGhar GonDvii
Posted: Fri Jul 15, 2005 9:47 pm
by RAUSHNEE
jawano ko meri ah-osahar day
phir in shahen bachon ko balopar day
khudaya arzo meri yahi hai
mera nor-e-baseerat amm ker day
Posted: Sun Jul 17, 2005 5:00 am
by Hashmat Usmani
sunataa huuN baRe Ghaur se afsaana-e-hastii
kuchh Khowaab hai, kuchh asl hai, kuchh tarz-e-adaa hai
AsGhar GonDvii
Posted: Sun Jul 17, 2005 3:24 pm
by PK Swami
bahut dushwaar hai dast.e talab kee jaada paimaaie
ye khaak.e paak har na.ahl se chhanee naheeN jaatee
baseerat vo hai jo idraak ko had.e nazar samjhe
haqeeqat vo haqeeqat hai jo peHchaanee naheeN jaatee
PK Swami
Posted: Tue Jul 26, 2005 3:00 am
by Hashmat Usmani
koii ab tak na yeh samjhaa k insaaN
kahaaN jaataa hai, aataa hai kahaaN se?
'allaamah Iqbaal
Posted: Tue Jul 26, 2005 4:50 pm
by PK Swami
oos aik aaH kee barsooN se justjoo meiN hooN
jo hizr.e yaar meiN sharmida.e asar ho jaai
hazaar saal kee umr.e daraaz se beHtar
vo aik dam, jo teri yaad meiN basar ho jaai
PK Swami
Posted: Wed Jul 27, 2005 1:49 am
by Hashmat Usmani
apnoN se bai'r rakhnaa tuu ne butoN se siikhaa
jang_o_jadal sikhaayaa vaa'iz ko bhii Khudaa ne
'allaamah Iqbaal
Posted: Sat Jul 30, 2005 4:37 am
by Hashmat Usmani
Khudii ko kar buland itnaa ki har taqdeer se pahle
Khuda bande se Khud poochhe, bataa!, terii razaa kia hai
'allaamah Iqbaal
sabaq aamoujz
Posted: Sat Jul 30, 2005 4:52 am
by Abdullah Nazir
"aseeraan-e-qafas gham bhool jaate heiN rihaa houkar
magar Sayyaad ke dil se pashemaani nahiN jaati."
Akbar Hyderabadi.
Nazir.
Posted: Sat Jul 30, 2005 4:58 am
by Hashmat Usmani
kiuN hameN maut ke paiGhaam diye jaate haiN
ye sazaa kam hai k jiye jaate haiN
Shamiim Jaipurii[/quote]
Posted: Mon Aug 08, 2005 11:46 am
by Shummu
Girte hain sheh-sawar hi maidain-e-jung main,
Woh tifl kya giraingay jo ghutano ke bal chalain.
Posted: Thu Aug 11, 2005 8:56 am
by Shummu
Iqbal
Mitaa de apni hasti ko agar kuch martaba chaahe
Ke daana khaak mein mil kar gul-e-gulzaar hota hai