Page 4 of 8

Posted: Sun Jun 12, 2005 9:01 am
by khurram_shaikh
Assalaam o alekum,


is ishq ke haatho.n se har-giz naamaafar dekhaa
utanii hii ba.Dii hasarat jitanaa hi udhar dekhaa

Posted: Sun Jun 12, 2005 9:05 am
by najma
ishq me.n laajavaab hai.n ham log
maahataab aafataab hai.n ham log

Posted: Sun Jun 12, 2005 9:07 am
by khurram_shaikh
Assalaam o alekum,


salaam e ishq meri jaan zara qabool kerlo

tum humse pyaar kernien ki zaraa si bhool kerlo

Posted: Sun Jun 12, 2005 9:32 am
by najma
HAY ISHQ MEIN SABR NA-GAWAR
PHIR SABR BIN AUR KYA HOGA HAMARA
MEER

Posted: Sun Jun 12, 2005 2:45 pm
by najma
hameiN ishq meiN MEER chup lag gaee hay
na shilwa shikayat na harf-o-hikayat

MEER

Posted: Sun Jun 12, 2005 2:46 pm
by khurram_shaikh
Assalaam o alekum,


ishq ke shole ko bha.Dakaao ke kuchh raat kaTe
dil ke a.ngaar ko dahakaao ke kuchh raat kaTe

hijr me.n milane shab-e-maah ke Gam aaye hai.n
chaaraasaazo.n ko bhii bulavaao ke kuchh raat kaTe

Posted: Sun Jun 12, 2005 2:50 pm
by najma
zaahida! ham jaante haiN, ishq bazii hay gunaah
ghar luTaya hay ji weh,shat meiN, wo kaffarah hua
naasikh

Posted: Sun Jun 12, 2005 3:08 pm
by khurram_shaikh
Assalaam o alekum,


aaj to be-sabab udaas hai jii
ishq hotaa to ko_ii baat bhii thii

jalataa phirataa huu.N kyuu.N do-paharo.n me.n
jaane kyaa chiiz kho ga_ii merii

Posted: Sun Jun 12, 2005 9:28 pm
by najma
lazzat-e-soz-e-ishq kya kahiyye
lutf aaya hay dil jalane se
najma

Posted: Mon Jun 13, 2005 12:13 am
by najma
qaazii hazar tarha ke jhagRoN meiN aasakaa
lekin na husn-o-ishq ka qissa chuka saka
soz

Posted: Mon Jun 13, 2005 1:00 am
by najma
aashiqii wo rog hay jis meiN keh ho jaatii hay yaas
achay hote kam sunaa hay meer is aazaar ko
meer

ishq

Posted: Tue Jun 14, 2005 2:52 am
by Abdullah Nazir



Dil ishq meiN doobaa hei per baat nahiN bantii

maiN usko hansaataa hooN wo mujhko rulaati hei.



Nazir.


Posted: Tue Jun 14, 2005 8:23 am
by syed bilal armaan
naya unwan 17 june 2005 ko diya jaye ga...[-BILAL]
ham koii tark-e-wafa karte haiN
na sahee ishq museebat hi sahee

Posted: Tue Jun 14, 2005 8:32 am
by syed bilal armaan
naam hai, ishq meiN zindagii na dekh
jalwa-e-aaftaab ban, zarre meiN roshnii na dekh

Posted: Tue Jun 14, 2005 8:33 am
by syed bilal armaan
ISHQ Kartey Hain Sabhi Fark Sirf Itna Hai
Koi Khamosh Rahey Koi Bata Deta Hai