Page 4 of 44
Posted: Wed Jun 22, 2005 11:07 am
by best
Aadaab,
Ilahi abro rakhna barra nazok zamana hai
dil main kofar rakhte hain bazair dostana hai.
i m the best
Posted: Wed Jun 22, 2005 1:09 pm
by najma
bujhtii hi naheeN tiahnagii-e-dil kisii soorat
aiy abr-e-karam aag hii barsaa ke guzar jaa
saGhar
Posted: Thu Jun 23, 2005 12:20 pm
by najma
saaqii ne is adaa se bakherii haiN bijliyaaN
paimana-e-hayaat ki tanweer jal gaee
saGhar
Posted: Sat Jun 25, 2005 7:49 am
by Waqar Zaidi
best wrote:Aadaab,
Ilahi abro rakhna barra nazok zamana hai
dil main kofar rakhte hain bazair dostana hai.
i m the best
Dear Best !
Aadaab. az raah e karam tashih farmaa lijiye .
Elaahi aabroo rakhnaa barhaa naazuk zamaana hay
dilon mein bughz rakhtay hain bazaahir dostaana hay
shukria,
Waqar Zaidi.
Posted: Sat Jun 25, 2005 8:00 am
by Waqar Zaidi
main husn parast hoon mujhay gul hi naheen azeez
kaanton say bhi nibaah kiye jaa rahaa hoon main
shaair : Jigar Muraad Aabaadi.
Posted: Fri Jul 01, 2005 3:30 am
by Hashmat Usmani
Khudaa jaane! kahaaN hai "AsGhar"-e-diivaana barsoN se
k usko DhuuNDhte haiN Ka'ba_o_but_Khaana barsoN se
AsGhar Husain "AsGhar" GonDvii
pasandeedah
Posted: Fri Jul 01, 2005 12:12 pm
by Abdullah Nazir
"aane waale kisi Toofaan kaa rounaa roukar
naakhudaa ne mujhe saaHil pah Dubounaa chaahaa".
Hafeez Jaalandhari.
Nazir.
[/color
pasandeedah
Posted: Sat Jul 02, 2005 12:42 pm
by Abdullah Nazir
[size\18]
jalvah dikhlaayiye, lazzat kash-e-deedaar hooN maiN
jaane phir kab hou mulaaqaat kahaaN houj Saahib..[/u]
Nazir.
[/size]
pasandeedah
Posted: Sat Jul 02, 2005 6:06 pm
by Abdullah Nazir
"intihaaye laaghari meiN jab nazaraayaa nah maiN
hans ke wo boule ke ab bistar ko jhaaRaa chaahiye.
Nazir.
Posted: Sun Jul 03, 2005 5:42 am
by Hashmat Usmani
ai baad e Sabaa! kamli_waale se jaa kahiiyo paiGhaam miraa
qabze se ummat-e-be_chaarii ke diiN bhii gayaa, dunyaa bhii gaii
'allamah Iqbaal
"alif"
Posted: Sun Jul 03, 2005 5:44 am
by Abdullah Nazir
ab kahaaN Sabr ke maiN jee sakuN ummeedaoN per
TooT jaaye nah miraa dil kahiN sheeshe kii TaraH.
"H'ai"
Nazir.
Posted: Sun Jul 03, 2005 6:05 am
by Hashmat Usmani
haaN! siina guloN kii taraH kar chaak
de mar ke sabuut zindagii kaa
AsGhar GonDvii
"pasandeedah"
Posted: Sun Jul 03, 2005 6:26 pm
by Abdullah Nazir
"deewaanagi meiN bhii mujhe itnaa tou housh hei
tasveer kii pasand tou teri pasand kii.
Nazir.
?
Posted: Mon Jul 04, 2005 6:09 pm
by Abdullah Nazir
"maloom jou houtaa hameN anjaam-e-muHabbat
lete nah kabhii bhool ke ham ham naam-e-muHabbat
Nazir.
Posted: Tue Jul 05, 2005 2:14 am
by Hashmat Usmani
zamiiN pe rah ke dimaaGh aasmaaN se miltaa hai
kabhii ye sar jo tere aastaaN se miltaa hai
Shamim Jaipuri