Page 4 of 29

???

Posted: Mon Jul 18, 2005 3:25 pm
by Abdullah Nazir



kis liye maghroor hei tuu ik zaraa se maal per

houte houte aek din sab kuch fanaa houjaayegaa.



Nazir.


Posted: Tue Jul 26, 2005 3:03 am
by Hashmat Usmani
koii ab tak na yeh samjhaa k insaaN
kahaaN jaataa hai, aataa hai kahaaN se?


'allaamah Iqbaal

Posted: Tue Jul 26, 2005 4:46 pm
by PK Swami
ek eztaraab.e musalsal hai, dard paiham hai
tumHaree yaad salaamat rahe to kyaa gham hai ?

teri talaash pe haNstee hai umr do rozaa
hazaar saal jiooN, to bhee zindgee kam hai

PK Swami

Posted: Wed Jul 27, 2005 1:53 am
by Hashmat Usmani
kab yaad meN teraa saath nahiiN, kab haath meN teraa haath nahiiN?
sad shukr k apnii raatoN meN ab hijr kii koii raat nahiiN


Faiz AHmad "Faiz"

Posted: Fri Jul 29, 2005 12:38 pm
by RAUSHNEE
ai mere rone waalo! Khudaara jawaab do!!
voh baar baar puuChhte haiN: kaun mar gaya?!

Posted: Fri Jul 29, 2005 7:02 pm
by Hashmat Usmani
vafaa kaisii? kahaaN kaa 'ishq? jab sar phoRnaa Thehraa
huye tum dost jiske, dushman uskaa aasmaaN kiuN ho?


Mirzaa Asadullah KhaaN "Ghaalib"

sawaliya sheAr ?????

Posted: Mon Aug 01, 2005 3:45 pm
by Abdullah Nazir



Ishrat-e-saaya-e-gul yaad dilaate kiyuN hou

khwaab meiN aate hou kiyuN neend uRaate kiyuN hou.




Nazir.


Posted: Wed Aug 03, 2005 8:25 pm
by zmufti
na sholey maiN yeh karishma na barq maiN yeh ada
koi batao keh woh shookh-e-tund khu kia hai?

???

Posted: Sun Aug 07, 2005 6:13 am
by Abdullah Nazir



kyaa tumheN ab yaad apne w'ada o paimaaN nahiN

raat kii tanhaayi meiN ghuTne lagaa dam kyaa karuN.



Nazir.


???

Posted: Mon Aug 08, 2005 6:30 am
by Abdullah Nazir



kyaa tum bhii mujhko chouR ke khaabaoN meiN khougaye

aisaa bhii waqt aagayaa kyaa meri jaan per.



Nazir.


Posted: Mon Aug 08, 2005 11:53 am
by Shummu
maiN ise shohrat kahooN, yaa apni ruswaa'ii kahooN?
mujh se pahle us galee meN mere afsaane gaye

???

Posted: Wed Aug 10, 2005 3:24 am
by Abdullah Nazir



kyaa maiN apne dil kii baataoN ko bhii parde meiN rakhooN

raah-e-ulfat meiN bhalaa kyaa khauf-e-rusvaayhi mujhe.



Nazir.


Posted: Wed Aug 10, 2005 9:30 am
by Shummu
HAR MULAQAAT KA ANJAAM JUDAII KYON HAI?
AB TO HAR WAQT YAHI BAAT SATAATI HAI HUMEIN

Posted: Thu Aug 11, 2005 2:16 am
by RAUSHNEE

wahan kaun gher mein hai muntazir,k fiqr ho der sawer ki
bari mukhtasr si yeh raat hai issay chandni mein guzar do

Posted: Fri Aug 12, 2005 12:46 am
by RAUSHNEE

vafaa naa aashna logoN ki socheN kitni sastee haiN
ke saari zindagi kis ne nibhaaii kaun dekhe ga ?