Page 4 of 4

"wafaa"

Posted: Sat Jul 02, 2005 12:51 pm
by Abdullah Nazir



rah-e-wafaa meiN tiraa iintizaar karte rahe

ham apnaa daaman-e-dil taar taar karte rahe.




Nazir.


"wafaa"

Posted: Sun Jul 03, 2005 2:41 am
by Abdullah Nazir



chand aansoo hii mile tujh se wafaa ke badle

yeh hei dastoor-e-muHabbat mujhe maloom nah thaa.



Nazir.


Posted: Sun Jul 03, 2005 5:35 am
by Hashmat Usmani
WAFAA kaisi? kahaN kaa 'ishq? jab sar phoRna Thehraa
to phir, ai sang_dil!, teraa hii sang-e-aastaaN kiuN ho?


Ghaalib

Posted: Sun Jul 03, 2005 6:16 am
by Hashmat Usmani
vafaa ke shiish maHel meN sajaa liyaa maiN ne
vo ek dil jise patthar banaa liyaa maiN ne


Qateel Shifaai

"wafaa"

Posted: Sun Jul 03, 2005 6:10 pm
by Abdullah Nazir
[size\18]


rah-e-wafaa meiN mile khaar-zaar-e-ranj o alam

talaash phir bhii rahii mujhko apni manzil kii.



Nazir.[/i]
[/size]

Posted: Tue Jul 05, 2005 2:33 am
by Hashmat Usmani
dunyaa ke sitam yaad, na apnii hii vafaa yaad
ab mujh ko nahiiN kuchh bhii moHabbat ke sivaa yaad


Jigar Muradabadi

Posted: Tue Jul 05, 2005 9:16 am
by syed bilal armaan
note:dosto ab ye topic katam ho gaya hai...is martaba ka unwan hai. tamana/armaan.
app is unwan par apne ashar bhej sakte hain.naya topic shroo ho chuka hai. [-BILAL]

shukriya.

Posted: Tue Jul 05, 2005 5:52 pm
by Hashmat Usmani
syed bilal armaan wrote:note:dosto ab ye topic katam ho gaya hai...is martaba ka unwan hai. tamana/armaan.
app is unwan par apne ashar bhej sakte hain.naya topic shroo ho chuka hai. [-BILAL]

shukriya.
jii zaroor Bilal saaHib...aapkaa Hukm sar aaNkhoN par...aap naii thread shuru kar dijiiye, mehrbaanii ho gii. shukria.

ASAK

Posted: Sun Dec 18, 2005 5:31 pm
by ummassad
WAFA KI MAINE BUNIYAD AAJ ZERE AASMAN RAKAHDI
JAHAN THA SANG-E-DER TERA WAHIN MAINE JABEEN RAKH DI

ASAK

Posted: Sun Dec 18, 2005 5:36 pm
by ummassad
WAFA KAISI KAHAN KA ISHQ JAB SER PHOUDNA THEHRA
TU PHIR AYE SANGDIL TERA HI SANG-E-AASTAN KYUN HO

"wafaa"

Posted: Tue Apr 18, 2006 5:51 pm
by Abdullah Nazir



wafaa ke naam peh karte ho be-wafaayi kiyuN

bataado Saaf ke mujh se tumheN lagaao nahiN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.