Page 4 of 4

Posted: Wed Jan 04, 2006 7:29 am
by Waqar Zaidi
jehl ki qabr khodni hay tujhay

apnay idraak ko kudaal banaa

===============================================

jab chaman mein woh bay naqaab aayaa

chaandni raat ko hijaab aayaa

===============================================

Posted: Wed Jan 04, 2006 4:21 pm
by ummassad
jo nakab-e- rukh ulat di tu yh khaid bhi lagadi
uthe her nigha lekin koi baam tek na pohnche

Posted: Wed Jan 04, 2006 4:32 pm
by ummassad
jis khait se dahqan ko muisar na ho rooti
us khait ke her khoshe -e- gandum ko jala do

Posted: Wed Jan 04, 2006 5:26 pm
by ummassad
jo tu hi sanam ham se bezaar hoga
tu jeena hamain apna dushwar hoga

Posted: Thu Jan 12, 2006 8:48 pm
by ummassad
JO DIL MANJA TUU BOLE KI THERO YAAD KERNE DO
ZARA SI CHEEZ THI HAMNE KHUDA JANE KAHAN RAKH DI

Posted: Mon Feb 06, 2006 3:10 am
by ummassad
jeem

Posted: Thu Feb 09, 2006 3:10 pm
by Daanish
junooN ki dastgeeri kis se ho, gar ho na uriyaani
garebaaN chaak ka haq ho gaya hai meri gardan par--Ghalib

Posted: Sat Feb 11, 2006 10:51 pm
by ummassad
jeb seena gum se boojhal ho aor yaad kisi ki aati ho
tum kumre main band hojana aor chupke chupke roo lena

Posted: Mon Feb 13, 2006 5:39 am
by Daanish
'jeem'

jaata hai yaar tegh ba_kaf ghair ki taraf
ai kushta-e-sitam! tiri gheerat ko kya hua?--Meer

"jeem"

Posted: Thu Feb 23, 2006 3:14 am
by Abdullah Nazir



jaan dene kaa yeh maTlab hei miri jaaN louge

aisaa waAdah nah karou jiski jagah dil meiN nahiN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir,


Posted: Sun Feb 26, 2006 5:47 pm
by MAHROO



jaate jaate ik nazar bhar dekhlo dekhlo
ham tumhare hain nazar bhar dekhlo dekhlo


asad bhopali

Posted: Tue Feb 28, 2006 7:50 am
by ummassad
jo main sir ba sajda huya kabhi tu zameen se aane lagi sada
tera dil tu hye sanam aashna tujhe kye milega namaaz main

jeem

Posted: Tue Feb 28, 2006 7:02 pm
by Abdullah Nazir



jalva-e-gul nah moyassar houaa ik muddat se

maiN ne dekhi nahiN aayiene meiN Soorat jaanaaN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.