Page 4 of 5

"seen"

Posted: Tue Feb 14, 2006 11:20 pm
by Abdullah Nazir



saaya afgan thii tumhaari ghamgusaari is TaraH

khaarzaar-e-zindagi ko gulsitaaN kehnaa paRaa.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Feb 15, 2006 2:02 am
by Daanish
saaqi, ba_jalwa, dushman-e-iimaan-o-aagahi
mutrib, ba_naghma, rehzan-e-tamkeen-o-hosh hai--Ghalib

"seen"

Posted: Wed Feb 15, 2006 3:03 am
by Abdullah Nazir



souz-e-alam se dasht meiN uThte nahiN qadam

her aabilah lipaTne lagaa nouk-e-khaar se.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Feb 15, 2006 5:21 pm
by ummassad
sarakhti jae hy ser se naqab aahista aahista
nikalta jaraha hy mahtaab aahista aahista

"seen"

Posted: Thu Feb 16, 2006 4:51 am
by Abdullah Nazir



sunaa jab us ne maiN dilgeer hooN, likhkhaa hei yeh mujhko

jilaa paati hei furqat meiN, muHabbat kam nahiN houti.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


"seen"

Posted: Fri Feb 17, 2006 2:46 am
by Abdullah Nazir



souchtaa hooN kyaa qiyaamat aagaie yaa aayegi

baam per aatah jab wo maah-e-kaamil kii TaraH.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Fri Feb 17, 2006 4:01 am
by Daanish
sab ko maqbool hai dawa tiri yaktaai ka
ru-ba-ru koi but-e-aaina_siima na hua--Ghalib

Posted: Fri Feb 17, 2006 4:04 am
by Daanish
saadgi par uski, mar jaane ki hasrat dil meiN hai
bas nahiN chalta ke phir khanjar kaf-e-qaatil meiN hai--Ghalib

"seen"

Posted: Sat Feb 18, 2006 1:44 am
by Abdullah Nazir



sulajh nah jaaye agar zulf-e-kaargaah-e-jahaaN

tou souchnaa mujhe paagal zaroor karde gaa.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Feb 18, 2006 3:34 am
by Daanish
sun raha huN hawadis ki awaaz ko, paa raha huN zamane ke har raaz ko
dosto uTh raha hai diloN se dhhuaaN, aankh lene lagi hichkiyaaN dosto--Makhdoom

Posted: Sat Feb 18, 2006 6:01 am
by ummassad
sub kuch luta ke hoosh main aaye tu kya kiya
din main agar charag jalaye tu kye kiya

"seen"

Posted: Sun Feb 19, 2006 1:42 am
by Abdullah Nazir



Souz-e-firaaq-e-yaar kaa Aalam nah poochiye

jaise guzarrahaa hooN kisi khaarzaar se.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Feb 20, 2006 10:57 am
by Shummu
Suntey hain sabhi gaur se awaz-e-jaras ko,
Manzil ki taraf koii rawana nahi hota.

"seen"

Posted: Mon Feb 20, 2006 5:08 pm
by Abdullah Nazir



souchtaa hei kahiN andhaa tou nahiN hei :Nazir:

jab se chilman tiri meHfil pe paRi rehti hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Feb 20, 2006 6:42 pm
by Jibraan Khalil
sab dekh rahe heN merey luTne ka tamasha
aey subh e alam ! tou hi bataa' kaisa samaaN hai