Page 4 of 10
Posted: Sun Aug 20, 2006 3:29 am
by Daanish
umeedwaar haiN har samt a'asshiqoN ke giroh
tiri nigaah ko Allah dil nawaaz kare--Hasrat Mohaani
dil
Posted: Sun Aug 20, 2006 4:12 am
by Abdullah Nazir
aarzoo-e-dil nah rou roukar kahiN dam touRde
chup nah houjaayeN kahiN parde ke andar chooRiyaaN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Aug 20, 2006 12:30 pm
by Daanish
'dil'
dard-e-dil, paas-e-wafaa, jazba-e-iimaaN hona
aadmiyyat hai yahi, aur yahi insaaN hona
--Pandit Brij Narain 'Chakbast'
dil
Posted: Mon Aug 21, 2006 5:21 am
by Abdullah Nazir
dasht-e-ghurbat meiN nah chaiR ai hamsafar gulshan kee baat
zikr-e-faSl-e-gul se zakhm-e-dil kaheeN taazah nah hou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Aug 21, 2006 1:48 pm
by Daanish
'dil'
ai taazah_waaridaan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
zinhaar, agar tumheiN hawas-e-nai-o-nosh hai--Ghalib
jigar
Posted: Tue Aug 22, 2006 6:09 am
by Abdullah Nazir
dekhtaa kaun hei majrooH jigar kee Soorat
teer jab chalte heiN duzdeedah nazar kee Soorat.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Aug 22, 2006 4:41 pm
by Daanish
'dil'
maiN aur ek aafat ka TukDaa woh dil-e-veHshi ke hai
aafiyat ka dushman aur aawaargi ka aashnaa--Ghalib
dil
Posted: Wed Aug 23, 2006 3:42 am
by Abdullah Nazir
naakhun-e-joush-e-junooN uqdah-kushaay-e-gham-e-dil
qaabil-e-shukr hei oos kaakul-e-paichaaN kaa khayaal.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Aug 23, 2006 4:44 am
by ummassad
aalam hey gulaam uskey jalaal.e. azli ka
ak dil hey kh her lehza ulajhta hey khirad sey.
(allama iqbal.)
Posted: Wed Aug 23, 2006 6:50 am
by Daanish
'dil'
dil lagaakar, lag gaya unko bhi tanhaa baiThhna
baare, apni bekasi ki hum ne paayi daad yaaN--Ghalib
dil
Posted: Wed Aug 23, 2006 11:46 am
by Abdullah Nazir
talkhi-e-gham-e-hijraaN hei azaab-e-jaaN :Nazir:
jaane kyaa milaa usko meraa dil jalaane se.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Aug 24, 2006 3:20 am
by Daanish
dil
dil hi bujha hu'a hai, tau lutf-e-bahaar kya?
saaqi hai kya, sharaab hai kya, sabzah_zaar kya?
--Pt. Brij Narain Chakbast
Posted: Thu Aug 24, 2006 4:15 pm
by PK Swami
dil meiN teri yaad bohat hai
ye bastee aabaad bohat hai
jiskaa nasheman sehraa Thahraa
vo panchhee azaad bohat hai
PK Swami
Posted: Fri Aug 25, 2006 12:00 pm
by hassan_bashir
"aaNsoo to phir aaNsoo haiN, ko'ii poNchh hi de ga
us Khoon ka kyaa hoga jo Tapkaa hai jigar se?"
Posted: Fri Aug 25, 2006 12:13 pm
by Daanish
dil
marne ki ai dil aur hi tadbiir kar ke maiN
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil nahiN raha--Ghalib