Page 4 of 5
dil
Posted: Mon Aug 21, 2006 6:32 pm
by Abdullah Nazir
dard-e-dil baRhtaa gayaa, deewaanagi baRhti gayi
moNh chupaakar daaman-e-jaanaaN meiN ham rouyaa kiye
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Aug 22, 2006 3:42 am
by Daanish
'ain'
ahad-e-jawaani Khatm hu'a, ab jeete haiN na marte haiN
hum bhi jeete thhe jab tak, mar jaane ka zamaana thha
--Faani Badaayuni
Ain
Posted: Tue Aug 22, 2006 6:06 am
by Abdullah Nazir
ishq-e-meHboob meiN yeh bhee nah rahaa yaad mujhe
Haiciat kyaa hei mire qalb kee auqaat hei kyaa.
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.
Posted: Tue Aug 22, 2006 10:13 am
by zmufti
Eesa na ban keh is ka muqaddar saleeb hai
anjeel-e-aagahi ke waraq umr bhar na khol
Posted: Tue Aug 22, 2006 4:38 pm
by Daanish
a'ashiq tujh ko jo ghar na paata hoga
kya kya kuchh dil meiN uske aata hoga
--Meer Dard
Ain
Posted: Wed Aug 23, 2006 3:52 am
by Abdullah Nazir
uqda-e-gaisooy-e-jaanaaN meiN ulajhkar dil ne
uljhaneN zeest kee jaise ke bhulaadeeN yaksar.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Aug 23, 2006 4:35 am
by ummassad
ishq ki aashiftagi ney kerdiya sehra jisey
musth.e. khak aysi nihan zair-rey khaba rakhta houn main.
Posted: Wed Aug 23, 2006 6:55 am
by Daanish
'ain'
i'taab-o-lutf jo farmaao, har soorat se raazi haiN
shikaayat se nahiN waaqif, humeiN shukraana aata hai
-Hyder Ali 'Aatish'
Ain
Posted: Wed Aug 23, 2006 11:30 am
by Abdullah Nazir
Aajiz aajaye zubaaN Haq kee vaZaaHut se agar
tum guzarjaaou kisi goonge musaafir kee TaraH.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Ain
Posted: Wed Aug 23, 2006 11:37 am
by Abdullah Nazir
Aaqibat andesh samjhooN kis ko teri bazm meiN
jou bhee aayaa route route haaye dil kehkar gayaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Aug 24, 2006 3:26 am
by Daanish
'ain'
ishq meiN jaan se guzar jaayeN
ab yahi jii maiN hai, ke mar jaayeN--Hasrat Mohaani
Posted: Thu Aug 24, 2006 5:08 pm
by PK Swami
umr kaise kaTegee Saif yahaaN
raat kaTtee nazar naheeN aatee !!
PK Swami
Posted: Tue Nov 28, 2006 10:35 am
by hassan_bashir
Umr jalvoN mein basar ho, yeh zaroori to naheeeeN
har shab-e-gham ki sahar ho, yeh zaroooori to naheeeeN
niNd to dard k bistar pe bheeeeeeee aa jaaaaaaaaaati hai
un kee aaGhosh meiN meiN sar ho, yeh zaroori to naheeN
Posted: Tue Nov 28, 2006 12:56 pm
by muhammad_19k
"umr e daraaz maang kar laa-aye thay chaar din
do arzoo meiN kut ga-aye do intezaar meiN
"Ain"
Posted: Wed Nov 29, 2006 4:16 am
by Abdullah Nazir
uqdah-.aay-e-zindagi se gou nahiN hamko mafar
kaakul-e-jaanaaN ke pech o kham nah bhoolenge kabhi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.