Page 4 of 18

Posted: Thu Sep 14, 2006 4:05 am
by Daanish


woh Haqeeqat hai Khud miri hasti
jis Haqeeqat ka pardah_daar huN maiN
--Jigar

'noon'

Posted: Thu Sep 14, 2006 9:15 am
by zmufti
na karataa zabt mai.n naalaa to phir aisaa dhuua.N uThataa
ki niiche aasmaa.N ke aur nayaa ik aasmaa.N hotaa

Posted: Thu Sep 14, 2006 1:23 pm
by ummassad
aapna deewana banaya mujhey hota tuney
kyun khiradmand banaya nh banaya hota

Posted: Thu Sep 14, 2006 3:19 pm
by Daanish
itna kiya hai yaad unheN humne ai Khumaar
ik umr chaahiye hai bhulaane ke vaastay


Posted: Thu Sep 14, 2006 10:05 pm
by ummassad
nh dil badla;nh dil ki aarzu badli;nh vo badla
main kysey aatibar.e.inqilab.e.aasman kerloun

noon

Posted: Fri Sep 15, 2006 2:44 am
by Daanish
'noon'


nawaazish_haa-e-bejaa dekhtaa huN
shikayat_haa-e-rangiiN ka gila kyaa

'alif'

Posted: Fri Sep 15, 2006 2:06 pm
by Daanish
ik veHm si rahi hai apni namood tan meiN
aate ho ab tau aao phir hum meiN rahegaa
--Meer

'alif'

Posted: Fri Sep 15, 2006 2:21 pm
by zmufti
is zarra ko rehti hai wusa'at ki hawis har dam
yeh zarra nahiN shayad simta hua sehra hai

Posted: Sat Sep 16, 2006 2:19 am
by Daanish
yeh jo bismil paRaa taRaptaa hai
HasrateiN is ki jaan meiN kuchh haiN
--Mus'Hafi

noon

Posted: Sat Sep 16, 2006 6:05 am
by Abdullah Nazir



nah jaane khougaye ham apni lazzataoN meiN kahaaN

butaan-e-hind se dunyaa kee moorataoN meiN kahaaN.


Shaayer: Abdullah Nazir.

( ye )


Nazir.


Posted: Sat Sep 16, 2006 3:32 pm
by Daanish
yeh fareb-e-jalwah hai sar basar, mujhe Dar yeh hai dil-e-beKhabar
kahiiN jam na jaaye tiri nazar inhiiN chand naqsh-o-nigaar par
--Jigar

're'

Posted: Sat Sep 16, 2006 3:34 pm
by ummassad
yaadoun key;wafaaoun key;aqeedoun key;gmoun key.
kaam aaye jo duniya main tuu asnaam hi aayee.

Posted: Sat Sep 16, 2006 3:42 pm
by ummassad
aasman kitney sitarey hain teri mahfil main
meri qhismat ka tuu koi bhi sitara nh houva.

Posted: Sat Sep 16, 2006 5:22 pm
by ummassad
jb gulistan ko khoun ki zarurat padi subse pahley hamaari hi gardan kati.
phir bhi kahtey heyen humse yeh aahl.e.chamen;yeh chamen hey hamara tumhara nahin.

NOON

Posted: Sun Sep 17, 2006 12:36 pm
by Mayank
a.ndoh se hu_ii na rihaa_ii tamaam shab
mujh dil-jale ko nii.nd na aa_ii tamaam shab

-Meer