Page 4 of 8

Posted: Mon Dec 18, 2006 7:49 pm
by hassan_bashir
*---------------------------------------------------------------------------------*



dekhaa kiye vo mast nigaahoN se baar-baar,
jab tak sharaab aaye kaee daur ho gaye!!




*---------------------------------------------------------------------------------*

sharaab

Posted: Tue Dec 19, 2006 2:46 pm
by Abdullah Nazir



"khizaaN meiN murgh-e-chaman maikade ke saakin houN

bahaar rakhti hei gul gooN sharaab sheeshe meiN".


Shaayer: Haider Ali. :aatish:



Nazir.


Posted: Thu Dec 21, 2006 8:03 am
by hassan_bashir
gar aag maikashoN kii sazaa hai to Ya Khudaa
dozaKh meiN ek nahar bahaa de sharaab kee
:twisted:

sharaab

Posted: Sat Dec 23, 2006 6:01 am
by Abdullah Nazir



nah iltifaat-e-nazar hei nah pursishe gham hei

agar sharaab moyassar nah hou tou kyhaa keeje..


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Re: sharaab

Posted: Sun Dec 24, 2006 6:18 am
by hassan_bashir
WEBMASTER wrote:


nah iltifaat-e-nazar hei nah pursishe gham hei

agar sharaab moyassar nah hou tou kyhaa keeje..


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

kisii tarah to jame bazm maikade vaaloN
nahiiN jo baada-o-saagar to haa-o-huu hi sahi
:wink:

Posted: Mon Dec 25, 2006 7:21 am
by balvinder
ham vah maiy-kash hain ki saaghar kee tarah ai saaqee
sar hameshaa teree khidmat mein rahaa kham apnaa
''shaad'' azeemabadi

Posted: Mon Dec 25, 2006 11:49 am
by hassan_bashir
baadal ki tarah jhoom k lehraa k piyeN ge
saaqii tere maikhaane pe ham Chha k piyeN ge

un-mad bhari aaNKhoN ko bhi sharmaa k piyeN ge
paimaane ko maikhaane se Takraa k piyeN ge

baadal bhi hai, baada bhi hai, miina bhi hai, tum bhi!
itraaaaaane ka mausam hai itaraaaaaa k piyeN ge

dekheN ge k aata hai kidhar se Gham-e-duniya
saaqii tujhe ham saamne biThalaa k piyeN ge

Posted: Mon Dec 25, 2006 12:32 pm
by balvinder
aabaad karein baadaa-kash allaah kaa ghar aaj
din jumme ka hai band hain maiy-khaane ke dar aaj

maiy-khaana hamaara koee masjid to nahee'n hai
tasbeeh liye kaun buzurg aaye idhar aaj ?

mai

Posted: Tue Dec 26, 2006 1:44 am
by Abdullah Nazir



"koii mai band kare koii pari sheeshe meiN

mukhtariA ham heiN ke aatish hei bhari sheeshe meiN".


Shaayer: naa maAloom



Nazir.


Posted: Thu Dec 28, 2006 10:12 am
by balvinder
yah vasf-e-khaas maiy-khushgawaar mein dekhaa
khushee mein yaar bhee hai, gham mein gham-gusaar bhee hai

mai

Posted: Sat Dec 30, 2006 5:57 pm
by Abdullah Nazir



haath meiN hei jaam-e-mai aur lab peh naam allah kaa

"ham nah kehte thay ke HaZrat paarsaa kahne ko heiN".
Mumin.

Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


sharaab

Posted: Wed Jan 03, 2007 4:27 am
by Abdullah Nazir



chashm-e-karam se unki muyassar nahiN sharaab

us maikade kaa faiZ-e-ravaaN khatm hougayaa.
.

Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Posted: Sat Jan 13, 2007 9:52 am
by balvinder
duaa-e-taubaa bhee hamne parhee to maiy peekar
majaa hee hamko kisee shaiy ka be-sharaab na thaa

mai

Posted: Sun Jan 14, 2007 3:12 pm
by Abdullah Nazir



Allah re suroor-e-mai-e-chashm-e-mahlaqaa-

do ghoonT kyaa piyee thay nasha umr bhar rahaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Posted: Mon Jan 15, 2007 7:51 am
by hassan_bashir
merii tabaaaahii kaa ilzaaaaam ab sharaab pe hai
maiN aur kartaa bhii kyaa tum pe aa rahii thii baat