Lafz par Ashaar#5--"BARISH "

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

laakh barsao zulm ki baarish :roll:
ham khuda, mehrbaan rakhte haiN :wink:
najma
:-)
Daanish
-
-
Posts: 448
Joined: Sun Feb 05, 2006 2:02 pm
Location: jahaan-e-kharaab
Contact:

Post by Daanish »

na poochh a'alam-e-bargashta_taala'ii Aatish
barasti aag jo baaraaN ki aarzoo karte
rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
PK Swami
-
-
Posts: 102
Joined: Wed Jul 06, 2005 2:59 am
Location: Delhi
Contact:

Post by PK Swami »

agar tum hue mae pilaane pe maael
to aa jayegaa mausam.e barq.o.baraaN
jo tum muskuraaogee, chamkegee bijlee
haNsooge to phulooN kee barsaat hogee !


PK Swami
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
Post Reply