Page 4 of 43

Posted: Mon Apr 18, 2005 3:45 pm
by najma
Aanchal wrote:Adal-o-insaaf faqat hashar pay mouqoof nahi
zindagi khud bhi ghunahoun ki saza dayti hai

insaaN ke liye zehr liye phirta hay insaaN
kya is ke liye koee bhi taa,zerr naheeN hay?
najma

javaab

Posted: Wed Apr 20, 2005 12:41 pm
by Abdullah Nazir



Koii hamdard nah ghamkhwaar hei pursish ke liye

khooN bahaayegaa mire deeda-e-giryaaN kab tak.



Nazir.


Posted: Wed Apr 20, 2005 8:59 pm
by najma
hamara jurm yehii hay jahaaN meiN aiy najma!
keh ham khuloos ke maaroN se pyaar karte haiN
najma

Posted: Thu Apr 21, 2005 12:22 am
by Hashmat Usmani
maHbuub vo k sar se qadam tak Khuluus ho
'aashiq vohii k Husn se kuchh bad_gumaaN bhii ho


"Firaaq" Gorakhpuri

JAVAAB

Posted: Thu Apr 21, 2005 2:14 am
by Abdullah Nazir



jaan dete heiN zamaane ko ujaalaa dekar

tuu miri shamA sahii maiN tiraa parvaanah sahii.



Nazir.


Posted: Thu Apr 21, 2005 3:02 am
by Hashmat Usmani
bujh gaii kuchh is taraH shama'-e-"Salaam"
jaise ik biimaar achchhaa ho gayaa


Salaam Machhli Shai'hrii

javaab

Posted: Thu Apr 21, 2005 1:42 pm
by Abdullah Nazir



Gou hawaa'aoN ko thii mujh se dushmanii

phir bhii shamA-e-zindagii jaltii rahii.



Nazir.


Posted: Fri Apr 22, 2005 2:24 am
by Hashmat Usmani
duur shama'-e-Khayaal ke maanind
sham'a vaadii kii jhilmilaatii hai
yaas ke be_karaaN andhere meN
ek umiid muskuraatii hai


Saifuddin "Saif"

javaab

Posted: Fri Apr 22, 2005 2:40 am
by Abdullah Nazir



Yaas ke andheraoN meiN ik charaagh jaltaa hei yaad-e-yaar baaqi hei

saans aati jaati hei dil dhaRaktaa rehtaa hei, yaad-e-yaar baaqi hei.



Nazir.


Posted: Fri Apr 22, 2005 2:45 am
by Hashmat Usmani
yaad-e-Ghazaal chashma, fikr-e-saman nazaaraaN
jab chaahaa kar diya hai, kunj-e-qafas bahaaraaN


Faiz AHmad "Faiz"

javaab

Posted: Fri Apr 22, 2005 3:00 am
by Abdullah Nazir



SubH-e-ishrat aayii hei yaa aatish-e-dard-o-alam

khwaab-e-ghaflat meiN nah rehiye, aankh mal kar dekhiye.



Nazir.


Posted: Fri Apr 22, 2005 3:08 am
by Hashmat Usmani
raftah, raftah Ghair apnii hii nazar meN ho gaye
waah rii Ghaflat! tujhe apnaa samajh baiThe the ham


Firaaq Gorakhpuri

javaab

Posted: Fri Apr 22, 2005 3:14 am
by Abdullah Nazir



zindagaani ke masaayil kii haqeeqat kyaa kahuN

teri zulfaoN kii taraH uljhaa kiye suljhaa kiye.



Nazir.

[/color

Posted: Fri Apr 22, 2005 3:20 am
by Hashmat Usmani
qaat'a-e-'aemaar haiN aksar nujuum
vo balaa-e-aasmaanii aur hai


Ghaalib

javaab

Posted: Fri Apr 22, 2005 3:26 am
by Abdullah Nazir



ghurbat meiN dhoop ne kyaa jhulsaa diyaa badan ko

nafrat sii hougaii hei sooraj kii raushnii se.



Nazir.

[/color