Page 4 of 9

Posted: Wed Apr 27, 2005 1:09 pm
by Hashmat Usmani
kabhii Ghuncha, kabhii sho'la, kabhii shabnam kii taraH
log milte haiN badalte huye mausam kii taraH


Ra'na "SaHrii"

Posted: Wed Apr 27, 2005 1:11 pm
by najma
pat-jhaR ke ba,d aagaya phir mausim-e-bahaar
nakhl-e-khizaaN-zadah ko naee zindagii milii
khawar qureshi

Posted: Wed Apr 27, 2005 8:52 pm
by najma
mausim-e-gul kya josh pe aayaa, gulshan meiN ik dhoom machii hay
ehl-e-chaman ka hay ye na,raa daaman phooloN se bhar jaao
khawar qureshi

Posted: Wed Apr 27, 2005 9:22 pm
by Hashmat Usmani
inhiiN Khush_gumaaniyoN meN kahiiN jaaN se bhii na jaao
vo jo chaarah_gar nahiiN hai use zaKhm kiuN dhikhaao


AHmad Faraaz

Posted: Wed Apr 27, 2005 10:49 pm
by najma
zard mausam ko na raas aayee, bahaaroN ki dua
abr aaye bhi to sailaab ki soorat aaye

Posted: Wed Apr 27, 2005 11:33 pm
by Hashmat Usmani
jab se pahnaa hai naye mausam ne zaKhmoN kaa libaas
phuul se khilne lage haiN diidaa-e-KhuunNaab meN



Prem warbarToni

Posted: Thu Apr 28, 2005 12:13 am
by najma
noch le shaakh-e-shajar ka pair,han jis dam khizaaN
mausamoN ki phir siyasat meiN aTak jaatii hay shaakh
najma

Posted: Thu Apr 28, 2005 1:45 am
by Hashmat Usmani
achchhaa saa koii mausam, tanhaa saa koii 'aalam
har waqt kaa ronaa to be_kaar kaa ronaa hai


Nidaa Faazlii

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:14 am
by najma
ummeed ke sehraa pe kaRii dhoop ka saya
goya keh mire ghar meiN GhamoN se bhi khushii hay
khawar qureshi

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:25 am
by Hashmat Usmani
na mere zaKhm khile haiN, na teraa rang-e-Hinaa
mausam aaye hii nahii.n ab ke gulaabo.n vaale

AHmad Faraaz

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:27 am
by najma
pehle ye soch lena mausim hay barishoN ka
bahar qadam na rakhna tum is andherii shab meiN
khawar qureshi

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:42 am
by Hashmat Usmani
kaun batlaaye tumheN kaise vo mausam haiN k jo
mujh se hii duur raheN, mujh meN hii baste jaayeN


Ummeed Faazlii

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:52 am
by najma
kis raah me hay mausim-e-gul, dhoond ke laaao
zakhmoN se mire hogii mudaaraat kahaaN tak
najma

Posted: Thu Apr 28, 2005 3:00 am
by Hashmat Usmani
bahaar aaye, chalii jaaye, phir chalii aaye
magar, yeh dard kaa mausam nahiiN badalne kaa


JaaN Nisaar "AKhtar"

Posted: Thu Apr 28, 2005 9:42 am
by syed bilal armaan
beeta deed ummeed ka mausam, Khaak uRti hai aaNkhoN meiN
kab bhejo ge dard ka baadal, kab barkha barsaao ge?