Page 4 of 6
Posted: Wed May 04, 2005 7:42 pm
by najma
ek duaiyyah she,r
baazoo-e-haidarki quwwqt de hameN
deen aur dunya ki izzat de hameN
Posted: Thu May 05, 2005 2:09 am
by Hashmat Usmani
badan meN aag sii, chehraa gulaab jaisaaa hai
k zahr-e-Gham kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai
AHmad Faraaz
Posted: Thu May 05, 2005 8:46 am
by najma
baaGhbaaN ka ye taqazah hay keh ab gulshan meiN
baad-e-sar sar bhi chale, naam sabaa ka rkhna
bakhsh
Posted: Fri May 06, 2005 12:35 am
by Mahtab Qadr
bekhudi be sabab nahi ghalib
kuch to hai jis ki parda dari hai
(Ghalib)
Posted: Fri May 06, 2005 1:33 am
by najma
bakhsh! kaun paRhta hay terii sach,chii tehreereN
jo qalam ne lik,kha hay. kaaGhazoN ne dekha hay
bakhsh
"be"
Posted: Fri May 06, 2005 6:50 am
by Abdullah Nazir
beHr-e-hastii meiN uThaa aaj wo ToofaaN taubah
shoomiy-e-bakht hei phir ishq kaa unwaaN taubah.
Nazir.
Posted: Fri May 06, 2005 10:31 am
by najma
bikte haiN har dukaan pe bomb-o-kalaagh-o-zaagh
yusuf paRe haiN husn ke bazaar se pare
bakhsh
"be"
Posted: Fri May 06, 2005 7:25 pm
by Abdullah Nazir
benyaazi tiri fiTrat meiN hei lekin zaalim
itnaa anjaan hei kiyooN, behr-e-khudaa khul mujh se.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Posted: Fri May 06, 2005 7:57 pm
by najma
butt-garii aaam hueee ehd-e-khirad meiN itnii
ek patthar bhi mujhe but-shikanii ko na mila
'be"
Posted: Fri May 06, 2005 11:14 pm
by Abdullah Nazir
bakhere, chaahe zamaanah hazaar baar mujhe
maiN tere gaisoo ke maanind hooN sanwaar mujhe.
Nazir.
Posted: Fri May 06, 2005 11:33 pm
by najma
baaqi nasha naheeN hay ab bada kuhan meiN
eejaad karni hogii phir dosto! mai-e-nau
khawar qureshi
"be"
Posted: Fri May 06, 2005 11:43 pm
by Abdullah Nazir
ba'd-e-muddat jo moyassar houii ik piyaar kii raat
aaou lag jaaou gale aagaii iqraar kii raat.
Nazir.
Posted: Fri May 06, 2005 11:47 pm
by najma
ba-zaahir shaan-o-shaukat se khaRe haiN
sab andar se magar TooTe paRe haiN
bakhsh
"be"
Posted: Fri May 06, 2005 11:56 pm
by Abdullah Nazir
baanTkar farHat o gham jeete heiN jeene waale
heich hei daulat o zar, saath na degaa koii.
Nazir.
Posted: Sat May 07, 2005 12:07 am
by najma
baa,d muddat ke khile daaman-e-ummeed ke phool
der ke baa,d baharoN pe nikhaar aayaa hay
nafis ahmad siddiqui