Page 4 of 8

Posted: Sun May 08, 2005 10:23 pm
by najma
raat bhar sooraj kisi ke sir pe manDlaata raha
din me tare toRne ki rasm dohraaee gaee
najma

shab

Posted: Mon May 09, 2005 4:45 am
by Abdullah Nazir



"shab-e-viSaal bujhaado tum in charaaghaoN ko

khushi kii bazm meiN kyaa kaam jalne waalaoN ka".



Nazir.


Posted: Mon May 09, 2005 9:18 am
by najma
lahuu ke deep jalao,siyaah raat kate
bujhi bujhi hay yahaaN mehfil-e-tarab kab se

Posted: Mon May 09, 2005 4:56 pm
by brainheater
sayaah raat ke sannatey mein ae dost
udaas udaas sa ik tanha aasman mila

Posted: Mon May 09, 2005 5:29 pm
by najma
dil agar tanhaa meraa tiir-o-kamaaN kii zad pe thaa
dil kii zad par bhii rahe tiir-o-kamaaN kal raat ko

"shab"

Posted: Tue May 10, 2005 2:26 am
by Abdullah Nazir



shab-e-vaSl kaT nah jaaye kahiN raah takte takte

tiri baat kaa bharousah, tiraa iAtibaar kab tak.



Nazir.


Posted: Tue May 10, 2005 2:56 am
by najma
shigaaf paR gaey haiN ab nazar ke rozan meiN
khuda hi jane ke akab ikhtitaam-e-shab hoga
bakhsh

Posted: Mon Jan 09, 2006 8:56 pm
by ummassad
raat bher deeda-e- namnak main lahrate rahe
sans ki tarha se aap aate rare jaate rahe

Posted: Mon Jan 16, 2006 9:13 pm
by ummassad
meri RAATOUN ki taariki meri qismat ki taariki
sitaare jhilmila kar toot jate hain fizaoun main

Posted: Tue Feb 07, 2006 4:12 am
by ummassad
aakhir-e-SHAB deed ke qabil thi bismil ki tadap
subha dam koi agar bala-e-baam aaya tu kya

Posted: Thu Feb 09, 2006 3:04 pm
by Daanish
thhe jo rashk-e-qamar jameel-e-shab
aakhirash ho gaye qateel-e-shab

kis qadar hai giraaN, shab-e-hijraaN
hai seher zer-e-paa-e-fiil-e-shab--Daanish

Posted: Sun Feb 12, 2006 2:59 am
by ummassad
gum-e- zindagi teri rah main SHAB-e-aarzu teric cah maim
jo ujd gya wo basa nahi jo bichad gya wo mila nahin

Posted: Sun Feb 12, 2006 11:07 am
by Daanish
tu kahaaN jayegi kuchh apna Thikaana kar le
hum tau kal khwaab-e-adam meiN shab-e-hijraaN honge--Momin

Posted: Mon Feb 13, 2006 10:02 pm
by ummassad
yh khule khule se gesoo yh udi udi si rangat
teri subha kah rahi hy teri raat ka fasaana

Posted: Tue Feb 14, 2006 4:42 pm
by Daanish
shab ke woh majlis feroz-e-khalwath-e-namoos thha
rishta-e-har shama, khaar-e-kaswath-e-fanoos thha--Ghalib