Page 31 of 44

Posted: Mon Dec 11, 2006 4:22 pm
by hassan_bashir
us ka haNs kar nazar jhukaa lena
saari sharteN qubool hoN jaise

pasandeedah

Posted: Mon Dec 11, 2006 11:59 pm
by Abdullah Nazir



" kartaa hei kyaa yeh muHtasib-e-sandgdil ghaZab

sheeshaoN ke saath dil nah kaheeN choor choor houN".


Shaayer: Haider Ali :aatish:



Nazir.


Posted: Tue Dec 12, 2006 12:16 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]muskurate huwe hoNTooN peh naz^ar paRtee hai
kis ne dekh~a hai mire chaak gareebaaN kee t^araf?
(moHtaram Abdullah Naz^ir SaHeib)
[/align]

pasandeedah

Posted: Tue Dec 12, 2006 5:49 pm
by Abdullah Nazir



"tiri kaafir jawaanee ko jawaanee kaun kehtaa hei

muHabbat ko muHabbat kee nishaani kaun kehtaa hei".


Shaayer: namaAloom



Nazir.


pasandeedah

Posted: Wed Dec 13, 2006 4:18 am
by Abdullah Nazir



" kiuNkar kaheN yeh minnat-e-aAdaa nah karenge

myaa kyaa nah kiyaa ishq meiN kyaa kyaa nah karenge".


Shaayer: Mumin..



Nazir.


Posted: Thu Dec 14, 2006 6:30 am
by zmufti
ra'anaaii-e-nigaah ko qaalab meN dhaaliye
pathar ke pairhan se saraapa nikaaliye

Posted: Thu Dec 14, 2006 7:41 am
by hassan_bashir
isii mansab ka talab-gaar hooooooooN maiN bhi aaqaa :pbuh:
khaak hooN maiN mujhe qadamoN se lagaaye rakhnaa

pasandeedah

Posted: Fri Dec 15, 2006 2:10 am
by Abdullah Nazir



"ik shahinshaah ne daulat kaa sahaaraa lekar

ham ghareebaoN kee muHabbat kaa uRaayaa hei mazaaq".


Shaayer: SaaHir Ludhyaanawi



Nazir.


Posted: Sat Dec 16, 2006 8:19 am
by hassan_bashir
is bharii duniya meiN koii bhi hamaara na huaa
Ghair to Ghair the apnoN ka sahaara na huaa

pasandeedah

Posted: Sun Dec 17, 2006 5:48 am
by Abdullah Nazir



"dushman kee dousti hei ab ahl-e-waTan ke saath

hai ab khizaN chaman meiN naye pairahan ke saath".


Shaayer: MajrooH SulTanpoori



Nazir.


pasandeedah

Posted: Mon Dec 18, 2006 3:58 am
by Abdullah Nazir



"pahle nahyi ous meiN phir aansowaoN meiN raat

yuN boond boond utri hamaare dilaoN meiN raat:.


Shaayer: Sheryaar



Nazir.


Posted: Mon Dec 18, 2006 11:58 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]maSaaib aor th~e par jee ka jana
a'jab ik saaneHah saa ho geya hai!

(Mir)
[/align]

pasandeedah

Posted: Mon Dec 18, 2006 6:55 pm
by Abdullah Nazir



"aankh lagti hei tou kehte heiN ke neend aati hei

apni jo aankh lagee chain nahin khwaab nahiN".


Shaayer: Meer Bahadur Shaah Zafar



Nazir.


Posted: Mon Dec 18, 2006 8:01 pm
by hassan_bashir
raNg aaNkhoN k liYe boo hai damaaGhoN k liYe
phul ko haath lagaane kee zaroorat kyaa hai?!

pasandeedah

Posted: Tue Dec 19, 2006 2:20 pm
by Abdullah Nazir



"mujhko vohi kaafi hei saaqi tire meenaa se

jo khinch ke chali aayi khud jazb-e-tamannaa se".


Shaayer: asghar gounDawi



Nazir.