Page 31 of 65
"abhi"
Posted: Sun Aug 28, 2005 4:07 pm
by Abdullah Nazir
abhi tak uskaa shiwah hei tamanna'aoN ka khooN karnaa
wo zaalim is TaraH ik rouz mujhko maar Daalegaa,
wo / mardalega
Nazir.
ieemaan"
Posted: Wed Aug 31, 2005 3:12 am
by Abdullah Nazir
ieemaan kii tou yeh hei, use chaahtaa hooN meiN
Wo mujh se door houte houe bhii qareeb hei.
wo / hei
Nazir.
Posted: Wed Aug 31, 2005 5:35 pm
by hassan_bashir
Wo uThe hai.n leke hom-o-subuu, arey o 'Shakeel' kahaa.N hai tuu
Teraa jaam lene ko bazm me.n koii aur haath ba.Daa na de
Teraa ~ de
"bedard"
Posted: Fri Sep 02, 2005 3:02 am
by Abdullah Nazir
bedard tuu ne aankheN nikaali heiN baarhaa
lekin Haseen jalvaah dikhaayaa nahiN kabhi.
lekin / kabhi
Nazir.
[/b][/size][/color]
kahiN
Posted: Fri Sep 02, 2005 4:29 am
by Abdullah Nazir
kahiN kisi ko bhalaa fikr kab hamaari hei
khuloos-e-dil se her aik baazi ham ne haari hei.
khuloos / hei
Nazir.
[/b][/size][/color]
mere"
Posted: Sun Sep 04, 2005 6:09 am
by Abdullah Nazir
Mere dil kii baat kaa us per acar houtaa nahiN
is jafaakaari pah bhii khaamoush houjaataa hooN maiN.
(is / maiN)
Nazir.
"tuu"
Posted: Tue Sep 06, 2005 2:08 am
by Abdullah Nazir
tuu kargayaa hei mujhko pashemaan-e-aarzoo
tujhko maiN kis zubaaN se kahoooN jaan-e-aarzoo.
tujhko /aarzoo
Nazir.
"mere"
Posted: Wed Sep 07, 2005 2:19 pm
by Abdullah Nazir
mere dil meiN hei mire ishq kaa her raaz abhi
kiyuN hei ghaflat meiN tumhaari nigah-e-naaz abhi.
"kiyuN / abhi"
Nazir.
"miraa"
Posted: Fri Sep 09, 2005 3:26 am
by Abdullah Nazir
miraa farz yeh hei ke mere lab pah hameshah teraa hii naam hou
miri zindagi kii saHar hou wo ke mufaariqat kii wo shaam hou.
(miri / hou)
Nazir.
p/b]
Posted: Sat Sep 10, 2005 2:34 am
by Hashmat Usmani
jis taraH chaahe, karam farmaaiye
dil meN rahiye, dard baRhaate jaaiye
DIL / JAAIYE
Posted: Thu Sep 15, 2005 8:07 am
by hassan_bashir
Zindagi ek sulagtee see cheeta hai 'Saahir'
shola banati hai na bujh kar yeh dhuaN hoti hai
shola / hai
Posted: Tue Sep 20, 2005 8:33 pm
by Shummu
Shola Tha Jal Bujha Hoon HawaayeiN Mujhe Na Do
Main Kab Ka Mar Chuka Hoon SadaayeiN Mujhay Na Do
maiN/Do
"maiN"
Posted: Wed Sep 21, 2005 1:01 am
by Abdullah Nazir
MaiN kahaaN aur kahaaN teraa haseeN taaj-maHal
dasht-e-ghurbat meiN mujhe khwaab dikhaataa kiyhuN hei.
dasht / hei
Nazir.
"apni"
Posted: Wed Sep 21, 2005 1:43 am
by Abdullah Nazir
apni bataaoN ka tasalsul tou vaheen TooT gayaa
tuu ne jab mujh se kahaa piyaar bhii afsaanah hei.
(tuu / hei )
Nazir.
"auraoN"
Posted: Wed Sep 21, 2005 2:10 am
by Abdullah Nazir
auraoN kaa kabhi zikr zubaaN per nahiN laanaa
ham ahl-e-muHabbat heiN wafaadaar rahenge.
(ham / rahenge )
Nazir.