Page 31 of 43

Posted: Mon Feb 27, 2006 2:37 am
by ummassad
wafa ki main ne bunyad aaj zeere aasman rakhdi

jahan tha sang.e.der tera jabeen main ne wahim rakhdi

Javaab

Posted: Mon Feb 27, 2006 8:26 pm
by Abdullah Nazir



kisi nezindagi qurbaan kardi uski chaukhaT per

kisi ko kheench kar qismat kaa aab o daanah le aayaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Mar 01, 2006 5:36 am
by ummassad
kahin dharti nahati hy lahu darya ki moujoun main
kahin barood ki barish hy insani riyasat per

javaab

Posted: Sat Mar 04, 2006 3:44 am
by Abdullah Nazir



Ajab hangaamah aaraayi hei is dunyaa ke gulshan meiN

agar aati hei faSl-e-gul tou insaaN khooN bahaate heiN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


javaab

Posted: Tue Mar 07, 2006 3:50 am
by Abdullah Nazir



dilaoN ke darmiyaaN kuch faaSilah baaqi nahiN rehtaa

muHabbat isko kehte heiN muHabbat aisi houti hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


javaab

Posted: Fri Mar 10, 2006 12:45 am
by Abdullah Nazir



wusAat hei jahaaN bhar kii is shehr-e-muHabbat meiN

kehne ko hei dil meraa, aur theraa Thikaanah hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.

[color-brown]
Nazir.

[/color]

Javvab

Posted: Tue Mar 14, 2006 11:15 am
by Abdullah Nazir



tum se shikwah nahiN dunyaa se shikaayat hei mujhe
apni ruswaayi bhi ik Tarz-e-muHabbat hei mujhe
kaun kehtaa hei bhalaa khwaahish-e-daulat hei mujeh
kuch hei pyaari tou faqaT apni sharaafat hei mujhe.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


javaab

Posted: Sat Mar 18, 2006 7:00 am
by Abdullah Nazir



Nazar se guzre heiN wo paich o kham zamaane ke

qubool hei mujhe rounaa, hansi qubool nahiN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Mar 18, 2006 10:14 pm
by ummassad
muslim .e.khabida uth hangama aara tu bhi ho
vo chamak uttha ufaq garam.e. takhaza tu bhi ho

javaab

Posted: Sun Mar 19, 2006 4:50 am
by Abdullah Nazir



jam gayi hei dar o deewaar peh kaahi kii TaraH

pyaar ke shehr meiN aahaoN se bhari khaamoushi.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


javaab

Posted: Tue Mar 28, 2006 1:22 am
by Abdullah Nazir



aable phooT ke royeNge sukooN tou hougaa

raah-e-ulfat meiN agar khaar-e-mugheelaaN hounge.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Tue Mar 28, 2006 3:22 am
by ummassad
tung aachuke hayn kashmakash.e. zindagi se hum
thukra na dein jahan ko kahin bydili se hum

Posted: Tue Mar 28, 2006 3:23 am
by ummassad
tung aachuke hayn kashmakash.e. zindagi se hum
thukra na dein jahan ko kahin bydili se hum

javaab

Posted: Wed Mar 29, 2006 3:38 am
by Abdullah Nazir



meHv-e-khayaal yaar heiN apni khushi se ham

kuch itne be-niyaaz houe zindagi se ham.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Javaab

Posted: Wed Mar 29, 2006 5:53 pm
by Abdullah Nazir



be-niyaaziy-e-dil hei zindagi kaa sarmaayah

warnah raah-e-ulfat meiN ham kabhi ke marjaate.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.