Page 32 of 44
Posted: Wed Dec 20, 2006 12:43 am
by alwaysalone
Husn Ka Is Main Koi Qusoor Nahi
Ishq Aik Qudrati Ghulaami Hai..
Posted: Wed Dec 20, 2006 7:24 pm
by zmufti
ka'aba ke pathroN ki ik daastaaN hai yaaro
taqdeer-e-bandagi heN asnaam ke sahaare
Posted: Thu Dec 21, 2006 1:35 am
by alwaysalone
Zad Main Hai Tez HavaoN Kai Kitaab-E-Hasti
Koi uRtay Hoye Auraaq Per Pather Rakh De..
Posted: Thu Dec 21, 2006 7:53 am
by hassan_bashir
bazm-e-Anjuman meiN khush-aamadiid, Ovais bhaii!! :rose
saaf kab imtihaan lete haiN vo to dam deke jaan lete haiN,
zid har ek baat meiN nahiiN achchhii dost kii dost maan lete haiN!
Posted: Sat Dec 23, 2006 12:18 am
by alwaysalone
Shukriya.. Hassan Bhai rose:
Kehtay HaiN Ik Shaks Nai Ker Li Khud-Kashi..
Wo Intiqaam Lenay Chala Tha Samaaj Se..
Posted: Sat Dec 23, 2006 2:27 pm
by alwaysalone
Doobay Se KahaN Piyaas Bujhi Ahl-E-Talb Ki
Main Vaadi-E-Gul Main Bhi BayabaaN Ki Tarah Tha..
Sajjad Baaqar Rizvi..
Posted: Sun Dec 24, 2006 12:08 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]ab hawaeeN hee kareeN geeN raoshnee ka faeSilah
jis diYe meN jaan ho gee woh diYa reh jae ga!
MeHshar badauni [/align]
pasandeedah
Posted: Sun Dec 24, 2006 4:39 am
by Abdullah Nazir
"khamoushi mujhko Hairat se hei warnah
bhare heiN lab se kejar sgujwe taa duk".
Shaayer:: Meer taqi :Meer:
Nazir.
Posted: Sun Dec 24, 2006 5:50 am
by hassan_bashir
ChaRha rahe haiN vahii aaj aastiiN mujh par
ki jin ki piiTh par kal tak merii hatheli thii !!
Posted: Mon Dec 25, 2006 9:52 am
by balvinder
vo bheerh thee ki khud se bichharh kar na mil sakaa
aayaa hoo'n saare koochaa-o-baazaar dekh kar
''sauda''
Posted: Mon Dec 25, 2006 11:46 am
by hassan_bashir
yaqiiN na aaye to ik baar pooooooochh kar dekho?
jo haNs rahaa hai voh zakhmoN se chuur nikale ga!!
Posted: Mon Dec 25, 2006 12:42 pm
by alwaysalone
Yeh Kis Ki AankhoN Nai Baa'daloN Ko Sikha Diya Hai
Kai Seena-E-Sung Se RavaaN Aabshaar Kerna..
Posted: Mon Dec 25, 2006 12:50 pm
by balvinder
khuda jaane kahaa'n gum ho gaye hain
main apne aansu'on ko ro rahaa hoo'n
haali''
pasandeedah
Posted: Tue Dec 26, 2006 1:48 am
by Abdullah Nazir
"sitam karte rahe tum aur ham ne
nah jaanaa yeh keh houtaa hei sitam kyaa".
Shaayer: MusHafi
Nazir.
pasandeedah
Posted: Wed Jan 03, 2007 4:58 am
by Abdullah Nazir
"kis kee nigaah-e-garm se thaa shab dochaar rukh
jo tamtamaa rahaa hei tiraa laalahzaar rukh". .
Shaayer: naa'maAloom
Nazir.