Page 32 of 65
Posted: Wed Sep 21, 2005 12:38 pm
by hassan_bashir
haiN aur bhee duniyaaN maiN sukhawar bohat ache
kehte haiN ke 'Ghalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur
kehte / aur
"kehte"
Posted: Thu Sep 22, 2005 1:09 am
by Abdullah Nazir
kehte rahe ham apni muHabbat kii daastaaN
deewaanagi meiN ham ko zamaane kaa Dar nah thaa.
(deewaanagi / tha)
Nazir.
"khursheed"
Posted: Thu Sep 22, 2005 1:44 am
by Abdullah Nazir
[size-18]
khursheed sifat hei tou mire khaana-e-dil meiN
anvaar-e-muHabbat kii navaazish hei zaroori.
(anwaar / zaroori)
Nazir.
[/size]
"shab"
Posted: Sat Sep 24, 2005 1:09 pm
by Abdullah Nazir
Shab-e-firaaq guzaari hei maiN ne rou roukar
tuu aaftaab kii maanind chup gayaa thaa kahiN.
tuu / kahiN
Nazir.
"ho"
Posted: Mon Sep 26, 2005 12:15 pm
by Abdullah Nazir
ho nah ho tujhko miraa shauq-e-deed bhaa nah sakaa
warnah kyaa aur sabab hugaa khafaa houne kaa.
(warnah / kaa )
Nazir.
"mujhko"
Posted: Sun Oct 02, 2005 6:57 am
by Abdullah Nazir
mujhko maAloom hei gulgasht ko niklouge magar
souchtaa hooN ke mulaaqaat ke din kyaa hugaa.
(souchtaa / hougaa)
Nazir.
"dil"
Posted: Sun Oct 02, 2005 4:07 pm
by Abdullah Nazir
Dil-e-barbaad ne rakhkha nah kheeN ka mujhko
isko deewaanagiy-e-ishq kahuN yaa na kahooN.
( isko / kahooN )
Nazir.
Posted: Wed Oct 19, 2005 12:21 pm
by Shummu
Saba Hum Sey Poochti Phir Rahi Hai
Chaman Ko Sajaaney Kay Dinn Aa Rahey Hain
Poet: Faiz Ahmed Faiz
Chaman/hain
maiN / aankheN
Posted: Sat Oct 22, 2005 4:04 pm
by Abdullah Nazir
MaiN tumko dikhaataa nahiN jalti houi aankheN
Kehti heiN yehi meri barasti houii aankheN.
kehti / aankheN
Nazir.
Hai
Posted: Thu Oct 27, 2005 2:02 am
by Abdullah Nazir
Hei kab se qadam-bousiy-e-jaanaaN ki tamannaa
nazdeek magar mujhko wo aane nahiN dete.
(nazdeek / dete)
Nazir.
Posted: Wed Nov 02, 2005 7:05 pm
by Abdullah Nazir
nazdeek mire chaand agar aaye tou poochooN
kiyuN guzri houi shab ko tujhe neend nah aayi.
( kiyuN / aayi )
Nazir.
Posted: Thu Nov 24, 2005 12:19 pm
by Shummu
zindagi jab bhi teri bazm mein laati hai humein
ye zameeN chaand se behtar nazar aati hai humein
ye/humeiN
Posted: Mon Nov 28, 2005 2:03 am
by Hashmat Usmani
hai bas k har ik unke ishaare meN nishaaN aur
karte haiN moHabbat to guzartaa hai gumaaN aur
Chachaa
Posted: Sat Dec 10, 2005 6:37 pm
by Shummu
raat bhar sochataa rahaa tujh ko
zehn-o-dil mere raat bhar mehke
zehn-o-dil/mehke
dil
Posted: Mon Dec 19, 2005 12:44 pm
by Abdullah Nazir
dil touR ke khush houte hou yeh bhi hei koii baat?
kyaa tum ko abhi saath nibhaanaa nahiN aataa.
(kyaa / aataa)
Nazir,