Page 32 of 43
Posted: Thu Mar 30, 2006 6:01 pm
by ummassad
khuda wo din na dikhaye ki main kisi se sunoun
kh tu ne bhi ghem.e. dunyan se haar mani hey
javaab
Posted: Fri Mar 31, 2006 2:49 am
by Abdullah Nazir
bayaaN kareN nah kareN sakhtiy-e-rah-e-ulfat
hamaare chehraoN se gard-e-safar nahiN chupti.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
javaab
Posted: Wed Apr 12, 2006 5:24 pm
by Abdullah Nazir
isTaraH ham tujhe seene se lagaarakhkhenge
apni saansaoN meiN tiri khusboo basaa rakhkhenge
chaahe kuch bhi ho jujdaa houne nah denge khud se
teri taSveer ko yhooN dil meiN sajaa rakhkhenge
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
javaab
Posted: Tue Apr 18, 2006 1:23 am
by Abdullah Nazir
Jaada-e-ishq meiN houti hei to paspaayi ho
meraa kyaa hei, mire shuhrat ho keh rusvaayi ho
dil hei uskaa jo kisi gham se nah ghabraa jaayhe
jaan uski hei jise paas-e-shikebaayi ho.
Shaayer: Abdullah Nazir.
{/color]
Nazir.
Javaab
Posted: Wed May 03, 2006 1:46 pm
by Abdullah Nazir
ShamA kiyuN shoAla-e-jaaNkaah se ghabraati hei
maiN isi aag meiN jal jal ke to parvaanah banaa.
Shaayer: Abdullah Nazir..
Nazir.
javaab
Posted: Sat May 06, 2006 6:01 am
by Abdullah Nazir
Raushnee ouRhe ke sooraj ki vo soujaataa hei
chaand rehtaa hei kahaN meri nazar se baahar.
Shaayer: Abdullah Nazir..
Nazir.
Posted: Thu May 11, 2006 1:16 pm
by Zahid Jahangir
salwaTeN hain mere chehre pe to hairaaN kiyoN ho
zindagi ne mujhe kuch tujh se ziyada pehna
Ahmad Faraz.
javaab
Posted: Thu May 11, 2006 7:13 pm
by Abdullah Nazir
kuch to heiN taAzeer-ranj o gham ke goonaagooN nishaaN
Warnah kiyuN takte bhalaa aayenah Hairaani se ham.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
javaab
Posted: Sat May 20, 2006 11:14 pm
by Abdullah Nazir
ab kisi karvaT sukooN miltaa nahiN
waasTah hei ik but-e-Tannaaz se.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
javaab
Posted: Sun May 21, 2006 11:51 am
by Abdullah Nazir
baadal ke pardeh meiN chupkar kal shab aayaa meraa chaand
dil ko jalaakar hougayaa rukhSat aangan meiN kab utraa chaand
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun May 21, 2006 12:49 pm
by hassan_bashir
raat ne aisaa peCh lagaaYaa, TuuTii haath se Dor!
aaNgan vaale niim meiN jaa kar aTakaa hogaa ChaaNd!!
javaab
Posted: Mon May 22, 2006 12:52 am
by Abdullah Nazir
jaagti aankhaoN meiN shab guzri phir bhi nah aayaa meraa chaand
SubH houi to saamne dekhaa oous meiN bheegaa bheegaa chaand
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon May 22, 2006 7:31 am
by hassan_bashir
chaaNd nikale kisii jaanib terii zebaaii kaa!
raNg badale kisii suurat shab-e-tanhaaii kaa!!
Posted: Wed May 24, 2006 2:00 pm
by hassan_bashir
raat bhar bolate haiN sannaaTe,
raat kaaTe koii kidhar tanhaa ?!
Javaab
Posted: Wed May 24, 2006 5:12 pm
by Abdullah Nazir
Micl-e-seemaab tumheN kaise taRaptaa dekhooN
Is liye maiN nahiN kehtaa ke miraa dil houjaao.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.