Page 33 of 44
Posted: Fri Jan 05, 2007 7:00 am
by ROSE
Woh aik lafz ki khushbu ko na rakh saka mehfooz
main us kay haath main ----saari kitaab kia daita
pasandeedah
Posted: Sat Jan 06, 2007 5:59 am
by Abdullah Nazir
Tiraa yeh Hukm hei, maiN ArZ-e-Haal bhee nah karooN
kisi sawaal kaa tere, javaab kyaa detaa.
Nazir.
Posted: Sat Jan 06, 2007 2:40 pm
by Zee
kaheen hoon mai tumhari zindgi mein
muje tum itna bataa do jaanaan
sheAr
Posted: Sat Jan 06, 2007 3:27 pm
by Abdullah Nazir
Sirf tum hee ka hou gharq-e-masty-e-naaz-e-jamaal
nashsha-e-sehbaay-e-ulfat ham ko bhee behkaaye hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:10 am
by Zee
behla raho ho dekho baaton se apni tum
kyon mooh chhupa rahe ho kaho nah hamhi se tum
pasandeedah
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:22 am
by Abdullah Nazir
"Tool-e-shab-e-viSaal hou micl-e-shab-e-firaaq
`nikle nah aaftaab ilaahi saHar nah hou".
Shaayer: :ameer: meenaayi
Nazir.
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:37 am
by Zee
voh lamhe jaamid kar dena hamein baahon mein jab bharna
shab e visaal ka har pal tum apni qaid mein rakhna
pasandeedah
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:47 am
by Abdullah Nazir
"maiN ne uryaaN tujhe aie rashk-e-qamar dekh liyea
deedah o dil ko jo thaa madd-e-nazar dekh liyaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:53 am
by Zee
voh tassavvur tha hazzat yeh hai surat e zinda
voh tau tha aik saaya mai hoon paiker tabinda
pasandeedah
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:59 am
by Abdullah Nazir
"de ke aik bousa-e-khaal-e-lab-e-sheereeN ai doust
tuu ne sao naaqa-e-aahooy-e-khutan mujhko diyaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Sun Jan 07, 2007 3:10 am
by Zee
jab mil jayen tau seene se laga leeje hamen
ham haseenon ki kisi baat ka bura kaisa?
pasandeedah
Posted: Mon Jan 15, 2007 2:27 am
by Abdullah Nazir
"shamA jis aag meiN jalti hei numaayhish ke liye
ham usi aag meiN gumnaam se jal jaate heiN".
Shaayer: Qateel Shifaayi
Nazir.
Posted: Mon Jan 15, 2007 7:32 am
by hassan_bashir
ziNdagii ko qareeb se dekho,
iska chehra tumheN rula dega!!
pasandeedah
Posted: Tue Jan 16, 2007 5:45 am
by Abdullah Nazir
"takh'yeel peh utri tire anwaar kee shabnam
maiN raat kaa raahi thaa mujhe tuu ne saHar dee".
Shaayer: Qateel Shifaayi
Nazir.
Posted: Tue Jan 16, 2007 5:00 pm
by MAHROO
oops