Page 33 of 65
kyaa
Posted: Sat Dec 24, 2005 4:05 am
by Abdullah Nazir
kyaa hougayaa yeh, waAdh khilaafi houi hei kiyuN
ik boujh saa hei dil pah tire intizaar meiN.
(ik / meiN)
Nazir.p/i]
Posted: Sat Dec 24, 2005 6:25 pm
by RAUSHNEE
ik aag gham-e-tanhaii ki jo saray badan mein phel gayee
jub jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachayein kia
Posted: Mon Dec 26, 2005 9:59 pm
by Shummu
jab bhii taqamiil-e-mohabbat kaa Khayaal aataa hai
mujhko apane Khayaalo.n pe ha.Nsii aati hai
mujhko/hai
Posted: Tue Dec 27, 2005 5:09 pm
by ummassad
mujhko shiqwa nahi ay katibe taqdeer magar
ro pade tu bhi agar mera mukahder dekhe
"ye"
Posted: Thu Dec 29, 2005 9:01 am
by Abdullah Nazir
yeh aur baat hei ke miraa bakht jaag uThaa
waise na thi umeed tagaaful shiAaar se.
(waise / se)
Nazir.,
Posted: Mon Jan 02, 2006 7:36 pm
by Shummu
waise to zindah dil hain, mager phir bhi Aye Shakeel
hota hai aik dard , hamaari hansi ke saath
hota/saath
saath
Posted: Tue Jan 03, 2006 1:56 am
by Abdullah Nazir
saath jiskaa detaa hooN mujh se hei gilah usko
jhooT meraa shewah hei, aur bewafaa hooN maiN !!!
( jhooT / maiN )
Nazir.
mai
Posted: Tue Jan 03, 2006 3:18 am
by Abdullah Nazir
mai-e-gulfaam kahaaN thi mire paimaane meiN
meraa hii khoon mujhe tum ne pilaanaa chaahaa.
( meraa / chaahaa )
Nazir.
Posted: Fri Jan 06, 2006 9:02 pm
by ummassad
meera rona nahin rona hay yeh saare gulistan ka
wo gul houn main khizan her gul ki hyi goya khizan mairi
"wo"
Posted: Sat Jan 07, 2006 4:04 am
by Abdullah Nazir
Wo milte heiN tou sunnaa chaahte heiN daastaaN meri
magar kyaa jaane kiyuN khaamoush rehti hei zabaaN meri.
(magar / meri)
Nazir.
Posted: Fri Jan 13, 2006 2:10 am
by ummassad
MERI ZINDAGI HAI ZALIM TERE GAM SE AASHKARA
TERA GUM HAI DERHAQHIQAT MUJHE ZINDAJI SE PYERA
Posted: Mon Jan 16, 2006 7:44 pm
by Shummu
Tera BaDa Hi Shukriya Pilaaye Jaa Pilaaya Jaa
Na Zikr Kar Hisaab Ka Sharab La Sharaab Laa
Na/Laa
Posted: Mon Jan 16, 2006 8:12 pm
by ummassad
na kisi ki aankh ka noor na kisi ke dil ka suroor houn
jo bigd gya vo naseeb hoon jo ujdr gye vo diyar houn
Posted: Mon Jan 16, 2006 10:10 pm
by Shummu
jo dosti nahin mumkin tu phir yeh ahad karein
keh dushmani mein buhat door tak na jaayenge
keh/jaayenge
"jaayenge"
Posted: Tue Jan 17, 2006 1:10 am
by Abdullah Nazir
Jaayenge aur kahaaN ham tiri taSveer liye
khaana-e-dil meiN hii rehjaane de Thukraa nah hameN.
(khaanah / hameN)
Nazir.