Page 33 of 43
Posted: Tue May 30, 2006 9:34 am
by hassan_bashir
Khushbuu hai vo to Chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke aNdar utar na jaaye
javaab
Posted: Tue May 30, 2006 8:22 pm
by Abdullah Nazir
Thee mushaabeh tiri zulfaoN se bahut hijr ki shab
gham to yeh hei ke moyhassar mujhe khusboo nah houee.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed May 31, 2006 7:08 am
by hassan_bashir
suCh yeh hai bekaar humeN ghum hotaa hai !
jo Chaahaa thaa duniYa meiN kam hotaa hai !!
Javaab
Posted: Thu Jun 01, 2006 12:07 pm
by Abdullah Nazir
BeHr-e-hastee meiN tamavvuj ke Ajab mausam heiN
kabhi Toofaan-e-balaa hei to kabhi khaamoushi
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Javaab
Posted: Thu Jun 08, 2006 8:33 pm
by Abdullah Nazir
kisi ko waAda o paimaaN kaa paas hou ke nah hou
hamaari umr guzarjaayhegi, wafaa karte
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jun 11, 2006 12:33 pm
by Zahid Jahangir
teri wafa se kia ho talaafi ke dehr mein
tere siwa bhi ham par bahot sitam howe
javaab
Posted: Sun Jun 11, 2006 6:29 pm
by Abdullah Nazir
bhainT dene ke liye aek tabassum bhi nahiN
kitne majboor heiN deewaane miri jaaN tere
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Jun 13, 2006 7:22 am
by hassan_bashir
shaayad tire labon kii chaTak se ho jii bahaal,
ai dost muskuraa ! k tabiyat udaas hai !!
Posted: Mon Jun 19, 2006 9:34 pm
by ummassad
ghum.e.jahan ko bhulaya mager bhula nh sakey
laboun ko chaird liya ;dil se muskuraa nh sakey
javaab
Posted: Tue Jun 20, 2006 2:46 pm
by Abdullah Nazir
hamaara kyaa hei guzar jaayegi kisi Soorat
magar wo chaand sitaare jo muskuraa nah sake.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
jawab.
Posted: Tue Jun 27, 2006 11:06 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
guzar to jae gee tere baGhaer bhee lekin
baRee udaas baRee be qaraar guzre gee.
na ma'loom.
Javaab
Posted: Tue Jun 27, 2006 2:49 pm
by Abdullah Nazir
zindagi guzri hei amvaaj-e-balaa meiN :Nazir:
kyaa bigaaRe gaa miri naao kaa ToofaaN koiee.
Shaayher: Abdullah Nazir.
Nazir
Posted: Wed Jun 28, 2006 8:51 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawaab
moHbbat meN ik aesa waqt bhee dil par guzarta hai
keh aaNsu khushk ho jate haiN tuGhyanee naheeN jatee.
jigar muradaabadee.
javaab
Posted: Fri Jun 30, 2006 9:39 am
by Abdullah Nazir
"Likkhaa hei us ne haath se apne ai naamahbar
aankhaoN se kiyhuN lagaauN nah nah maiN baar baar khaT."
Shaayer: Ameer Meenaayhi
Nazir.
Posted: Fri Jun 30, 2006 10:48 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
dekhe haiN bohot ham ne hangame moHabbat ke
aaGhaaz bhee ruswaee anjaam bhee ruswaee.
Sufee Ghulam muStafa Tabassum.