Page 34 of 44
Posted: Tue Jan 16, 2007 8:09 pm
by zmufti
Rakh apne paas apne maah-o-meher aye falak
Hum khud kisi ki aankh ke taaarey haiN in dinoN
Posted: Wed Jan 17, 2007 2:23 pm
by hassan_bashir
na jaane kitane baras baad vo milaa hai mujhe
hai Dar yahii k voh phir se judaa na ho jaaye
pasandeedah
Posted: Wed Jan 17, 2007 2:29 pm
by Abdullah Nazir
"chaman meiN aatish-e-gul ne jalaadiyaa us ko
miraa khizaaN se nah barbaad aashiyaanah houaa"
Shayer: zauq.
Nazir.
Posted: Wed Jan 17, 2007 2:55 pm
by hassan_bashir
Ghair phirataa hai liye yuuN tere Khat ko ki agar
koii puuchhe ki ye kyaa hai to chhupaaYe na bane
pasandeedah
Posted: Wed Jan 17, 2007 3:49 pm
by Abdullah Nazir
"ilaahi khair houmaanind-e-shoAla-e-sarkash
tphir aayaa yaad ke ghouRe peh wo idhar chaRhkar".
Shaayer: Zauq:
Nazir.
pasandeedah
Posted: Mon Jan 22, 2007 4:32 am
by Abdullah Nazir
"gar baagh meiN miraa wo tajammul se gul hanse
bulbul nah gujl se boule nah bulbul se gul hanse".
Shaayer: jur'at.
Nazir.
pasandeedah
Posted: Tue Jan 23, 2007 4:28 am
by Abdullah Nazir
is ke siwaa kyaa rehgayaa shaghl-e-aseeraan-e-qafas
zanjeer-e-paa ko dekhnaa yaa jaanib-e-dar dekhnaa.
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.
pasandeedah
Posted: Tue Jan 23, 2007 11:35 pm
by Abdullah Nazir
"din jalaayaa jee Hijaab-e-shamA roo ne aur bhee
souz-e-parwaanah ko maaniA parda-e-faanoos hei".
Shayer: Mumin.
Nazir.
Posted: Wed Jan 24, 2007 5:19 pm
by hassan_bashir
payaam aaye haiN us yaar-e-be-wafaa k mujhe,
jise qaraar na aaya kaheeeeeeN bhulaa k mujhe!
Posted: Tue Jan 30, 2007 9:06 pm
by alwaysalone
Sub Ne Hi To Qasam Nahi Khaayi Bhool Jaane Ki
Hai Itna Yaqeen Mujh Ko Koi Yaad To Kerta Hoga..
Posted: Sun Feb 04, 2007 11:33 am
by alwaysalone
Waaqif Ghum-E-Ulfat Se Na Dil Ho Na Jiger Ho
YouN Mujh Se Milo Tum Ke Mujhay Bhi Na Khaber Ho..
Posted: Thu Feb 08, 2007 10:00 am
by balvinder
daastaan-e-shab-e-gham qissaa-e-tulaanee hai
mukhtasar ye hai ki toonr mujhe barbaad kiya
Posted: Fri Feb 09, 2007 9:49 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
janazah uTh~ geya kiyooN aa'tabaar-e-Naz^ir ka?
jo dostooN ne kiya kaash woh a'du karte!!
Shae,ir Abdul ReHman Abdullah Naz^ir SaHib
Posted: Mon Feb 12, 2007 3:31 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
dunya tire wujood ko kartee rahee talaash
ham ne tire kheyaal ko yizdaaN bana liya!
Posted: Wed Feb 14, 2007 4:59 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ab to hans hans ke lagata hai woh mehndee lekin
khooN rulae ga use rang-e-Hina mere ba'd!
Mir MuHammad Taqqi!