Page 34 of 65
Posted: Wed May 04, 2005 9:53 pm
by najma
karte rahay jo chaand sitaroN ki guftguu
insaaN ki aabruu ke nigehbaaN na ho sake
najma
insaaN/ho sake
Posted: Thu May 05, 2005 9:53 am
by najma
hay shor wo har samt, keh mehfil pr giraaN hay
saqi se musalsal gila-e-tishna-labaaN hay
khawar
saqi/hay
Posted: Thu May 05, 2005 10:46 am
by Hashmat Usmani
saaqii kii har nigaah pe bal khaa ke pii gayaa
laharo.n se khelataa huaa laharaa ke pii gayaa
Jigar Moradabadi
Posted: Thu May 05, 2005 10:55 am
by Hashmat Usmani
saaqii kii har nigaah pe bal khaa ke pii gayaa
lahroN se kheltaa huaa, lahraa ke pii gayaa
Jigar Moradabadi
Posted: Thu May 05, 2005 10:57 am
by Hashmat Usmani
saaqii kii har nigaah pe bal khaa ke pii gayaa
lahroN se kheltaa huaa, lahraa ke pii gayaa
Jigar Moradabadi
LAHRAA / GAYAA
Posted: Thu May 05, 2005 11:03 am
by najma
gaya, to saath mirii rooh ka dhuwaaN le kar
khayal-e-yaarne choRa na saath jeete-jee
nafis ahmad siddiqui
khayaal-e-yaar
Posted: Thu May 05, 2005 9:49 pm
by Abdullah Nazir
khayaal-e-yaar se kab zehn ko milii furSat
sukooN kahaN hei mujhe zindagii kii raahaoN meiN.
sukoon /meiN
Nazir.
Posted: Thu May 05, 2005 10:22 pm
by najma
sukooN se beet gaee ab talak to aiy najma!
ye zesst dekhiye baqii, kahaaN guzartii hay
najma
ye/hay
"ye"
Posted: Thu May 05, 2005 10:43 pm
by Abdullah Nazir
yaad karte heiN tujhe ahl-e-waTan, kiyuN nah kareN
Dhoondtaa hei mujhe ghurbat meiN waTan meraa bhii.
"ye"
Nazir.
Posted: Thu May 05, 2005 10:50 pm
by najma
DhoonDne nikla ilaaj-e-Gham-e-dauraaN koee
hoga dil se bhi ziyada yahaaN naadaaN koee
najma
hoga/koee
koii
Posted: Fri May 06, 2005 7:05 am
by Abdullah Nazir
Koii kyaa jaane musaafir kii kahaaN raat kaTe
uski aankhaoN meiN ghubaar-e-rah-e-manzil hii tou hei.
Nazir.
Posted: Fri May 06, 2005 10:22 am
by najma
hay karbala ka manzar-e-khooN raNg har taraf
tishna-laboN pe nadish-e-aab-e-faraat hay
bakhsh
tishnah/hay
tishnah-lab
Posted: Fri May 06, 2005 7:37 pm
by Abdullah Nazir
tishnah-lab ke liye jaam-e-maiy-e-gulgooN bhii nahiN
surkhiy-e-Aariz o lab, rouz sataati hei mujhe.
(surkhii / mujhe)
Nazir.
Posted: Fri May 06, 2005 7:50 pm
by najma
mujhe raat kaatnii hay, mujhe jaagna parega
jo ye so gaya to soey, bare shauq se zamanah
majna
jo/zamanah
"jo"
Posted: Sun May 08, 2005 12:41 pm
by Abdullah Nazir
jou bhii hounaa thaa houaa, bhool hii jaa'ou sab kuch
daastaan-e-gul o bulbul nah sunaa'ou mujhko.
jo / mujhko
Nazir.