Page 34 of 43
javaab
Posted: Sun Jul 02, 2006 6:38 am
by Abdullah Nazir
khud peh hans letaa hooN Nazir chand lamHaoN ke liye
jab chalak jaati hei sehbaay-e-tamanna jaam se
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jul 02, 2006 6:49 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
pehla jawaab
jigar in Hawadis se ghabra nah jana
yeh hee to hai dil chaspiyooN ka zamanah.
jigar murad aabadee.
dusra jawab!
jigar meN dard ho to aaNkh se aaNsu Tapakte haiN
laba lab hone wale jam hee akcar chalakte haiN.
Kocar ja'faree.
jigar
Posted: Tue Jul 04, 2006 12:45 am
by Abdullah Nazir
jigar meiN dard hei dil meiN kharaash hei ab tak
jafaa shiAaar tujhe bhool kar jiyuN kaise
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Jul 05, 2006 1:17 pm
by hassan_bashir
kaam aa sakiiN na apanii vafaayeN to kyaa kareN?!
ik bevafaa ko bhuul na jaayeN to kyaa kareN?
Posted: Wed Jul 05, 2006 3:51 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawab
aabaad agar nah dil ho to barbaad kijiye.
gulshan nah ban sake to bayaaN baaN banaiye.
jigar
javaab
Posted: Thu Jul 06, 2006 2:29 am
by Abdullah Nazir
BayaaN kareN nah kareN sakhtiy-e-rah-e-ulfat
hamaare chehraoN se gard-e-safar nahiN chuptee
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Jul 06, 2006 9:34 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawab
Sadaqat ho to dil sene se khichne lagte haiN waiz
Haqiqat khud ko manwa letee hai manwaee naheeN jatee.
jigar
javaab
Posted: Fri Jul 07, 2006 4:30 am
by Abdullah Nazir
kabhi dil meiN khyaal-e-yaar se ik kaif houtaa hei
kabhi uski koii taSveer pehchaani nahiN jaati
Shaayer: Abdullah Nazir..
Nazir.
Posted: Fri Jul 07, 2006 2:43 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
pehla jawaab!
hae kafir dil kee yeh kafir junooN angeziyaaN
tum ko peyar aae nah aae mujh ko peyar aa hee geya.
jigar murad aabadee
javaab
Posted: Fri Jul 14, 2006 6:48 am
by Abdullah Nazir
"jaan hee dedi Jigar ne aaj paay-e-yaar per
umr bhar kee beqaraari ko qaraar aa hee gayaa".
Shaayer: Jigar Muradaabadi
Nazir.
Posted: Sat Jul 15, 2006 10:58 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawaab
lo tum bhee gae ham ne to samjha tha ke tum ne
bandha hai koee yarooN se peman-e-wafa aur.
FaeZ^.
Posted: Mon Jul 17, 2006 10:19 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawaab!
sare mosam to gae zard bana kar mujh ko
to baharooN ka khuda hai to hara kar mujh ko.
khaakan khawar.
Posted: Sat Jul 29, 2006 4:08 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Jawaab
koee baRhe nah baRhe ham to jaan dete haiN
phir aesee chashm-e-tawajjah hoee hoee nah hoee.
Jigar Muraad aabadee.
Posted: Tue Aug 08, 2006 4:29 pm
by Daanish
aap Thehre haiN tau Thhehra hai nizaam-e-a'alam
aap guzre haiN tau ik mauj-e-rawaaN guzri hai
Posted: Tue Aug 08, 2006 8:32 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawab!
roka tha sab ne ham ko lekin nah ruksake ham
ab ajnabee zameeN ke dukh raas aa rahe haiN.
Ghazal inSaari