Page 35 of 44

Posted: Tue Feb 20, 2007 10:29 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kiya qeyamat hai keh khat^ir kushtah-e-shab bh~ee th~e ham
SubH jab aaee to mujrim ham hee gardane gaeY!

Khat^ir Ghaznawi

Posted: Sat Feb 24, 2007 6:29 am
by zmufti
log har baat kaa afsaana banaa lete haiN
sab ko haalaat ki rudaad sunaayaa na karo

Posted: Sun Feb 25, 2007 7:57 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ham bh~ee darya haiN hameeN apna hunar ma'loom hai
jis t^araf bh~ee chal paReN ge rastah ho jae ga!

(Basheer Badar)

Posted: Sat Mar 10, 2007 7:48 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kabh~ee kisee ko mukammal jahaaN naheeN milta
kabh~ee zameeN to kabh~ee aasmaaN naheeN milta!

Posted: Sun Mar 18, 2007 10:37 am
by Atiq-ur-Rehman Saffy
jo mun ko aa rahi thee wo lipti hai paon say
barish kay baad khaak kee seerat badal gye........................... (hussain majrooh)

saffy.

Posted: Mon Mar 19, 2007 10:13 am
by balvinder
ek nafrat ki adaa, ek hiqaarat ki nazar
itnii hogii merii qismat, mujhe maaloom na tha

Posted: Wed Apr 04, 2007 4:26 pm
by hassan_bashir
kisii ne saraahaa jo meri Ghazal ko
mujhe tera Husn-e-nazar yaad aayaa
:-)

Posted: Sun Apr 08, 2007 4:39 am
by JadooMaster
Huae is khadar muhazib ke ghar ka moun na dekha
kati umr hotelon main marray aspatal jaa kar

Ayee raat banglae main awaaz e azan
jee rahay hain abhi aglay zamanay waalae

Posted: Tue Apr 10, 2007 6:52 pm
by sbashwar
Aansoo dil ki dhadkan ka izhar kare hai

jab koi ji jaan se iqraar kare hai

Posted: Wed Apr 11, 2007 5:34 pm
by sbashwar
salem bhai welcome in anjuman

shair bohat khoob hai kya aapka apna hai
Ji haN. Himmat afzai ka shukria. :grin:

Posted: Sat Apr 14, 2007 12:40 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
t^ulo'-e-SubH-e-azal se maiN Dh~onDta th~a jise
mila to hai par miree samt dekh~ta bh~ee naheeN!

Anwar shao'or

Posted: Mon Apr 16, 2007 9:00 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ab hawaeeN hee kareeN gee raoshanee ka faeSilah
jis diye meN jaan ho gee woh diya reh jae ga!

MeHshar Badauni

Posted: Tue Apr 17, 2007 5:14 pm
by ummassad
is zabat ke hatoun ji bher ke roo bhi nh sakey hum ay touba
aankhoun main jo aansoo bher aaye palkoun se dhaluk ker beh na sakey.

Posted: Tue Apr 17, 2007 9:12 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kahoon kiya maajara-e-rah-e-manzil
bohot dh~oke diye haiN raahbar ne!

Posted: Fri Apr 20, 2007 1:46 am
by ummassad
araz.e. tammana kerkey ganwaya hum ne bharam khuddari ka.

ho tuu gaai taakmeel.e.tammana dil ki nadamat aaj bhi hey.