Page 35 of 65

Posted: Sun May 08, 2005 5:59 pm
by najma
jo miree zeest pe chaya raha sayaa banka
apni chahat ka yaqeeN usko dila bhi na sakii
najma

apni/saki

"apni"

Posted: Mon May 09, 2005 5:10 am
by Abdullah Nazir



Apni hii chashm-e-karam kaa na DhanDouraa peeTo

Ham faqeeraoN se milii tum ko duAaa kyaa kyaa kuch.



Nazir.


Posted: Mon May 09, 2005 9:02 am
by najma
ham ne to chaahaa thaa, un se mud,da,aa kardeN bayaaN
lafz kuch aaey zabaaN par, aur aakar reh gaey
najma


lafz/gaey

"lafz"

Posted: Tue May 10, 2005 2:43 am
by Abdullah Nazir


lafz-e-ulfat lab pah aataa hei tou roudetaa hooN maiN

haaye zaalim tuu ne meri zindagii barbaad kii.[/u]

"haaye / kii"


Nazir.


Posted: Tue May 10, 2005 2:53 am
by najma
haey, kis kis ka tuu khudaa hoga
itne eemaan le liye zalim!
majma

souchtaa

Posted: Fri May 13, 2005 5:05 am
by Abdullah Nazir



souchtaa hooN ke ilaaj-e-gham-e-tanhaayi tou hou

jaane kab tujh se mulaaqaat hou aur dil behle.


jaane / behle



Nazir.

[/color

Posted: Fri May 13, 2005 5:40 am
by Hashmat Usmani
ham dahr ke is viiraane meN jo kuchh bhii nazaara karate haiN
ashkoN kii zabaaN meN kahte haiN, aahoN se ishaara karte haiN


Moin AHsan "Jazbi"
ASHKON / HAIN

Posted: Fri May 13, 2005 2:00 pm
by najma
ashkoN ne dil ki baat zamane meiN aam kii
afsos, ghar ki baat , kahaaN tak chalii gaee
nafis ahmad siddiqui

Posted: Sun May 15, 2005 5:13 am
by Hashmat Usmani
gaii vo baat k ho guftuguu to kiuN_kar ho
kahe se kuchh na huaa, phir kaho! to kiuN_kar ho


Chachaa
KAHE / HO

Posted: Sun May 15, 2005 10:48 am
by najma
haaey , wo ehd-e-jawanii, wo shabaab
ab kahaaN sehn-e-chaman meiN rang-o-boo
nafis ahmad siddiqui
ab/boo

Posted: Sun May 15, 2005 2:02 pm
by najma
chalo acha hua tum bhool gaey
ik bhool hi tha miara pyar

ik/pyaar

Posted: Mon May 16, 2005 1:41 am
by Hashmat Usmani
ik 'aalam-e-Hairat hai, fanaa hai na baqaa hai
Hairat bhii yeh hai k kia jaaniye kia hai


AsGhar GonDvii
HAIRAT / HAI

Posted: Mon May 16, 2005 3:06 am
by najma
hay waqt ka ye taqaza k ham kalam kareN
shi,aar-e-khamushii aiy hamdamo! Ghazab hoga

shi,aar/hoga

Posted: Mon May 16, 2005 4:48 am
by Hashmat Usmani
ho ga phir parbat saa, pighlanaa chaahiye
is himaalay se koii daryaa nikalnaa chaahiye


Dushyant Kumar
IS / CHAAHIYE

Posted: Mon May 16, 2005 9:24 am
by najma
is tarah sheesha-e-dil TooT ke bukhra hay mira
maiN ne chaahaa keh uThaalooN, to uThaa bhi na sakii
najma