Page 35 of 43

Posted: Thu Aug 10, 2006 10:17 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
aa mujhe apnee muHabbat kee nigahooN meN chupa
is se pehle keh bikhar jaeeN fasane mere.

Ja'far Shirazee.

Posted: Sat Aug 12, 2006 2:51 am
by Daanish
kuchh qumriyoN ko yaad hai, kuchh bulbuloN ko Hifz
a'alam meiN tukDe tukDe miri dastaaN ke haiN

javaab

Posted: Sat Aug 12, 2006 7:14 am
by Abdullah Nazir



kitne Hassas adeebaoN kaa sukhan hei maatak

gharq-e-amvaaj-e-balaa hugayaa fun meraa bhee.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Aug 13, 2006 11:24 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kis se shikwah kareeN zamane ka
kushtah-e-roozgaar haiN ham loog.

shareef aHmad Baqa.

Posted: Sun Aug 13, 2006 2:15 pm
by ummassad
tuu samajhta hey;yeh saamaan hey dil aazari ka
imtihan hey terey ieesaar ka khudaari ka

Posted: Mon Aug 14, 2006 11:37 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
aarzu-e-waSl hai peGhaam-e-marg-e-justuju
hijr kee yeh be kalee aakhir dawa ho jae gee.

shareef aHmad baqa(London)

Javaab

Posted: Wed Aug 16, 2006 4:45 am
by Abdullah Nazir



zindagaani ke safar meiN yeh patah bhee nah chalaa

din kahaaN khatm houaa, raat kahaaN khatm houee.


Shaayer: Abdullah Nazir


Nazir.


Posted: Wed Aug 16, 2006 11:01 am
by Daanish
mira seena hai mashriq, aaftaab-e-daaGh-e-hijraaN ka
tulu'a-e- sub^H-e-meHshar chaak hai, mere garebaaN ka
--NaasiKh

Posted: Wed Aug 16, 2006 3:15 pm
by Daanish
hasti ke mat fareb meiN aa jaiyo Asad
a'alam tamaam halqa-e-daam-e-Khayaal hai--Ghalib

Posted: Thu Aug 17, 2006 3:50 pm
by hassan_bashir
sar gashtagii meiN aalam-e-hastii se yaas hai
taskeeN ko de naved ke marane kii aas hai

javaab

Posted: Fri Aug 18, 2006 12:34 pm
by Abdullah Nazir



Sadma-e-yak junbish-e-lab se nah dil ko touRde

teri bebaaki agar ilzaam tak pahunchi nahiN


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Thu Aug 24, 2006 4:53 pm
by PK Swami
jo bhee kahnaa hai kaho saaf, shikaayat hee saHee
inn isharaat.o.kanayaat se jee Dartaa hai !


PK Swami

Posted: Fri Aug 25, 2006 2:49 am
by ummassad
koi pouchey nh haal.e.dil hum se.kuch bataney ko ji nahi kerta
doostoun se wafa nahi milti . aazmaney ko ji nahi kertaa.

javaab

Posted: Fri Aug 25, 2006 3:59 am
by Abdullah Nazir



iqraar-e-muHabbat kee ham ne yeh sazaa paayi

ham jaise tamaashah houN dunyaa hei tamaashaayi.



Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Fri Aug 25, 2006 12:02 pm
by hassan_bashir
un ko zebaa'ii bhi phabtii hai, Khud-aaraa'ii bhii
ham agar ahl-e-nazar haiN to tamaashaa'ii bhii