Page 36 of 44

Posted: Thu Apr 26, 2007 1:42 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jahaaN tak dil ka sheerazah faraham karta jata hooN
yeh meHfil aor barham aor barham hotee jatee hai!

(Jigar)

Posted: Fri Apr 27, 2007 12:00 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
shukr hai us ne be wafaee kee
maiN kaRe imteHaan se nikla!

Posted: Sat Apr 28, 2007 11:03 pm
by ummassad
aik umr hui main tu hansi bhool gaiya houn
tum ab bhi merey dil ko dukhana nahi bhooley.

Posted: Sun Apr 29, 2007 12:50 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kabh~ee kabh~ee to taSawwur se jee naheeN bh~arta
mire kheyaal meN aao to baar baar aao!

Posted: Thu May 03, 2007 9:12 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
bas keh hooN Ghalib aseeree meN bh~ee aatish zer-e-paa
mo-e-aatish deedah hai Halqah miree zanjeer ka!

Mirza Asad Ullah KhaN Ghalib

Posted: Thu May 03, 2007 1:50 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
mareeZ^-e-Gham peh ek aesee bh~ee shaam aatee hai!
keh charah gar ko ummeed-e-seHer naheeN rehtee!

Ustaad Qamar Ajnalwi marHoom

Posted: Mon May 07, 2007 7:06 pm
by ummassad
barq ki kiya majal thi merey chaman ko dekhtei.
joosh.e. junoon main aashiyan main ney hi khud jaladiya.

Posted: Mon May 07, 2007 11:03 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
tasawwur meN chale aate tumhara kiya bigaR jata
tumhara pardah reh jata hameeN deedaar ho jata!

Posted: Fri May 11, 2007 4:29 pm
by ummassad
zabaan khamoosh hey lyken meri aankhoun main likha hey.
kh haal e dil pardha jata hey samjhaya nahin jata.

Posted: Sun May 13, 2007 10:17 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Shaokat hamare saath a'jab Haadicah huwa!
ham reh gaeY hamara zamanah guzar geyaa!

Prof, Shaokat Wasti

Posted: Tue May 15, 2007 2:20 am
by ummassad
ashak ko jb kisi aanchal ka kinara na milla
sahil e chashm pe yeh gaum ka safina thera.

Posted: Thu May 17, 2007 2:47 pm
by ummassad
sambhel ke haath barhao zara guloun ki teruf.
kh inkey saaye main kharoun ko neend aati hey.

Posted: Fri May 18, 2007 1:26 pm
by ummassad
dil main rahtey huye aankhoun main phira kertey ho
kiya jagha tumney nikali hey tahelney ke liye.

Posted: Tue May 22, 2007 1:27 am
by ummassad
youn tuu vo meri rag e jaan se bhi they nazdeek ter.
aansoun ki dhund main leykin jo nh pahchaney gaiyee

Posted: Tue May 22, 2007 1:03 pm
by urdudiya
koser sey kiyaa buJhegii lagi dil ki saaqiyaa

ik maikada bhi hum lab^e koser bana^engey