Page 36 of 43
Posted: Sat Aug 26, 2006 6:38 pm
by PK Swami
vo jo dekheN mujhe, aaienaa banaa kar apnaa
phir to koi na tamashaa, na tamashaaie hai ! - Shafeeq Akbaraabadee
PK Swami
Posted: Sun Aug 27, 2006 2:40 am
by Daanish
"woh dushmani se dekhte haiN, dekhte tau haiN
maiN shaad huN ko huN tau kisi ki nigaah meiN"
DaaGh
Posted: Sun Aug 27, 2006 4:34 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
dil meN kisee ke rah kiye ja raha hooN meN
kitna HaseeN gunah kie ja raha hooN meN
jidgar.
Posted: Sun Aug 27, 2006 4:40 pm
by Daanish
bayaaN Khwaab ki taraH jo kar raha hai
yeh qissa hai jab ka ke Aatish jawaaN thha
--Hyder Ali Aatish
Posted: Sun Aug 27, 2006 4:48 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
fasanah keh rahe haiN aaj woh apni muHabbat ka
khuda aesa kare mera kaheeN par naam aa jae.
(jigar)
Posted: Sun Aug 27, 2006 4:57 pm
by Daanish
aap ke naam se taabindah hai unwaan-e-Hayaat
warna kuchh baat nahiN thhi mire afsaane meiN
javaab
Posted: Mon Aug 28, 2006 1:27 am
by Abdullah Nazir
Iske siwaa kyaa rehgayaa shaghl-e-aseeraan-e-qafas
zanjeer-e-paa ko dekhnaa yaa jaanib-e-dar dekhnaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Aug 28, 2006 3:10 am
by ummassad
deekh zindaan se parey rang.e. chaman joosh.e. bahaar
raqs kerna hey tu phir paoun ki zanjeer nh deekh
Posted: Mon Aug 28, 2006 7:28 am
by Daanish
ahbaab chaarasaazi-e-veHshat na kar sakay
zindaaN meiN bhi Khayaal bayaabaN_naward thha
--Ghalib
Posted: Tue Aug 29, 2006 5:38 pm
by PK Swami
diloN ko fikr.e do aalam se kar diyaa aazaad
tere junooN kaa khudaa silsilaa daraaz kare ! _ Hasrat Mohani
PK Swami
javaab
Posted: Wed Aug 30, 2006 12:52 am
by Abdullah Nazir
naakhun-e-joush-e-junooN uqdah-kushaay-e-gham-e-dil
qaabil-e-shuk hei us kaakul-e-paichaaN kaa khayaal.
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.
Posted: Wed Aug 30, 2006 5:27 am
by Daanish
hazaar taraH ke uqday paRe hu'e dil meiN
khula na ek tira uqda-e-niqaab-e-dareeGh
--Mamnoon
javaab
Posted: Tue Sep 05, 2006 1:06 am
by Abdullah Nazir
zindagaani ke masaayil kee Haqeeqat kyaa kahooN
teri zulfaoN kee TaraH uljhaa kiye suljhaa kiye
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Sep 05, 2006 5:07 pm
by PK Swami
safar umr.e rawaaN kaa aur bhee dushwaar ho jaaye
agar ham zulf ke saaye meiN aakar dam naheeN lete !
PK Swami
Posted: Sat Sep 09, 2006 6:03 pm
by PK Swami
sara_j wrote:PK Swami wrote:safar umr.e rawaaN kaa aur bhee dushwaar ho jaaye
agar ham zulf ke saaye meiN aakar dam naheeN lete !
PK Swami
chheRtii hain kabhii lab ko kabhii ruKhsaaron ko
tum ne zulfon ko bahut sar pe chaRhaa rakhaa hai
saraji
bohat achhaa sher post kiyaa hai aapne.shukriaa !
zulf iss shaan se shaanoN pe laHaraaie hai
khud ghaTaaoN ke kaHaa aaj ghaTaa chhaaie hai !
PK Swami