Page 37 of 44

Posted: Thu May 24, 2007 7:35 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kuch itnee raoshnee meN the chehrooN ke aae'ne
dil us ko DhunDtaa thaa jise jantaa nah thaa!

Ada Jaafri

Posted: Fri May 25, 2007 3:08 pm
by ummassad
dekha nahi tanhai main tum ney kabhi usko
bichdey huey loogoun ko vo royaa bhi bahout hey.

Posted: Sat May 26, 2007 10:22 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
aek tum hee nah mil sake warnah
milne wale bichaR bichaR ke mileY!

Posted: Sat May 26, 2007 12:01 pm
by NAZRANA
..

Posted: Wed Jun 06, 2007 12:11 am
by ummassad
qafas main mujh se rudaad e chaman kahtey na der hamdam
giri hey jis pe kal bijli wo mera aasiyan kyun ho.

Posted: Wed Jun 06, 2007 10:05 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
koee ham saa Ghanee nah thaa Khaled
ham Wafaa kaa khaZanah rakhte the!

Khaled Yusuf

Posted: Thu Jun 07, 2007 12:10 pm
by NAZRANA
:!:

Posted: Thu Jun 07, 2007 7:18 pm
by ummassad
aasaan nahi aabaad kerna gher mahoubat ka.
yeh unka kaam hey jo zindagi barbaad kertey hain.

Posted: Fri Jun 08, 2007 10:51 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kuch maiN hee jaantaa hooN jo mujh par GuZar gaee
Duniyaa to lut^f le gee miree waqe'aat meN!

MuSt^afa Zaedi

Posted: Sun Jun 10, 2007 8:46 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
phir koee neyaa Zakhm neyaa dard a't^aa ho
is dil kee khabar le jo tujhe bhool chala hai!

It^ahar Nafees!

Posted: Mon Jun 11, 2007 6:33 am
by zmufti
kahaa.N hai ham-zabaa.N allaah jaane
faqat merii zabaa.N hai aur mai.n huu.N

Posted: Tue Jun 12, 2007 3:00 pm
by zmufti
kyuu.N surKh hai.n naqsh-e-kaf-e-paa raah-e-talab me.n
ko_ii na kahe paaon kii zanjiir kahegii

Posted: Wed Jun 13, 2007 6:32 pm
by zmufti
is daur-e- be junnuN ki kahani koi likho
jismoN ko barf, khoon ko paani koi likho

Posted: Wed Jun 13, 2007 10:21 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ek naam tera kiya likhaa saHil kee ret par
phir u'mr bhar hawaa se meree dushmanee rahee!

Posted: Thu Jun 14, 2007 10:20 pm
by ummassad
zameer e lala main roushan chirag e aarzu kerdey.
chaman ke zarre zarre ko sheed e justaju kerdey.